DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

River

Poetry Collection

Ash'aar

Tehzeeb Hafi
Apni masti mein bahta dariya hoon Main kinara bhi hoon bhanwar bhi hoon...
Tehzeeb Hafi
Baitha rehta tha sahil pe saara din Dariya mujh se jaan chhudaya karta tha...
Ishrat Afreen
Vo jis ne ashkon se haar nahin maani Kis khamoshi se dariya mein duub gai...
Adil Mansuri
dariya ki wusaton se use naapte nahin tanhai kitni gahri hai ik jaam bhar ke dekh...
Irfan Siddiqi
dard kaisa jo duboe na baha le jaye kya nadi jis mein rawani ho na gahrai ho...
Mohammad Alvi
aaj phir mujh se kaha dariya ne kya irada hai baha le jaun...
Mohammad Alvi
dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha khush the tamam nekiyan dariya mein daal kar...
Mohammad Alvi
sadiyon se kinare pe khada sookh raha hai is shahr ko dariya mein gira dena chahiye...
Saleem Kausar
ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yaani ik dariya mein doosri baar utra nahin ja sakta...
Shad Azimabadi
dil apni talab mein sadiq tha ghabra ke soo-e-matloob gaya dariya se ye moti nikla tha dariya hi mein ja kar doob gaya...
Shakeb Jalali
sahil tamam ashk-e-nadamat se at gaya dariya se koi shakhs to pyasa palat gaya...
Shariq Kaifi
bahut gadla tha paani us nadi ka magar main apna chehra dekh aaya...
Shariq Kaifi
kahin na tha wo dariya jis ka sahil tha main aankh khuli to ik sahra ke muqabil tha main...
Yagana Changezi
pahad kaatne wale zameen se haar gaye isi zameen mein dariya samaye hain kya kya...
Yagana Changezi
baaz aa sahil pe ghote khane wale baaz aa doob marne ka maza dariya-e-be-sahil mein hai...
Nazeer Akbarabadi
miri is chashm-e-tar se abr-e-baran ko hai kya nisbat ki wo dariya ka paani aur ye khoon-e-dil hai barsati...
Ismail Merathi
dariya ki tarah rawan hoon lekin ab tak bhi wahin hoon main jahan hoon...
Explore more on Diwan E Sukhan