DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Romantic complaints
Poetry Collection
Ash'aar
Shakeel Badayuni
mohabbat hi mein milte hain shikayat ke maze paiham mohabbat jitni baDhti hai shikayat hoti jaati hai...
Altaf Hussain Hali
munh kahan tak chhupaoge ham se tum mein aadat hai khud-numai ki...
Altaf Hussain Hali
mujhe kal ke vaade pe karte hain rukhsat koi vaada puura hua chahta hai...
Zehra Nigah
vo na jaane kya samjha zikr mausamon ka tha main ne jaane kya socha baat rang-o-bu ki thi...
Ada Jafarey
phir nigahon ko aazma liije phir vafaon pe ishtibah rahe...
Jan Nisar Akhtar
aankhen jo uThae to mohabbat ka guman ho nazron ko jhukae to shikayat si lage hai...
Siraj Aurangabadi
kabhi tum mom ho jaate ho jab main garm hota hun kabhi main sard hota hun to tum bhaDkao karte ho...
Siraj Aurangabadi
siraj in khub-ruyon ka ajab main qaeda dekha bulate hain dikhate hain lubhate hain chhupate hain...
Siraj Aurangabadi
vo zulf-e-pur-shikan lagti nahin haat mujhe saari pareshani yahi hai...
Wali Dakni
aaj teri bhavan ne masjid mein hosh khoya hai har namazi ka...
Shahryar
ya tere alava bhi kisi shai ki talab hai ya apni mohabbat pe bharosa nahin ham ko...
Khwaja Meer Dard
aage hi bin kahe tu kahe hai nahin nahin tujh se abhi to ham ne ve baaten kahin nahin...
Bahadur Shah Zafar
na bosa dena aata hai na dil bahlana aata hai tujhe to ai but-e-tarsa faqat tarsana aata hai...
Mohammad Rafi Sauda
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi ai khana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi...
Mohammad Rafi Sauda
gar tujh mein hai vafa to jafakar kaun hai dil-dar tu hua to dil-azar kaun hai...
Mohammad Rafi Sauda
har aan aa mujhi ko satae ho naseho samjha ke tum use bhi to yak-baar kuchh kaho...
Kaleem Aajiz
zara dekh aaina meri vafa ka ki tu kaisa tha ab kaisa lage hai...
Zafar Iqbal
suna hai vo mire baare mein sochta hai bahut khabar to hai hi magar mo'tabar zyada nahin...
Arzoo Lakhnavi
phir chahe to na aana o aan baan vaale jhuTa hi vaada kar le sachchi zaban vaale...
Hafeez Jalandhari
kyun hijr ke shikve karta hai kyun dard ke rone rota hai ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai...
Hafeez Jalandhari
us ki surat ko dekhta hun main meri sirat vo dekhta hi nahin...
Explore more on Diwan E Sukhan