DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Romantic urdu poetry

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
ye kin nazron se tu ne aaj dekha ki tera dekhna dekha na jaae...
Ahmad Faraz
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata ye baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain...
Faiz Ahmad Faiz
jaanta hai ki vo na aaenge phir bhi masruf-e-intizar hai dil...
Jaun Elia
kaun se shauq kis havas ka nahin dil miri jaan tere bas ka nahin...
Jaun Elia
shayad vo din pahla din tha palken bojhal hone ka mujh ko dekhte hi jab us ki angDai sharmai hai...
Parveen Shakir
paas jab tak vo rahe dard thama rahta hai phailta jaata hai phir aankh ke kajal ki tarah...
Parveen Shakir
ghar aap hi jagmaga uThega dahliz pe ik qadam bahut hai...
Firaq Gorakhpuri
raat bhi niind bhi kahani bhi haae kya chiiz hai javani bhi...
Firaq Gorakhpuri
aankhon mein jo baat ho gai hai ik sharh-e-hayat ho gai hai...
Firaq Gorakhpuri
kaho to arz karen maan lo to kya kahna tumhaare paas ham aae hain ik zarurat se...
Dagh Dehlvi
abhi kam-sin ho rahne do kahin kho doge dil mera tumhaare hi liye rakkha hai le lena javan ho kar...
Dagh Dehlvi
aaina dekh ke ye dekh sañvarne vaale tujh pe beja to nahin marte ye marne vaale...
Akbar Allahabadi
jis taraf uTh gai hain aahen hain chashm-e-bad-dur kya nigahen hain...
Jigar Moradabadi
tiri khushi se agar gham mein bhi khushi na hui vo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui...
Hasrat Mohani
raushan jamal-e-yaar se hai anjuman tamam dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam...
Hasrat Mohani
milte hain is ada se ki goya khafa nahin kya aap ki nigah se ham aashna nahin...
Bashir Badr
utar bhi aao kabhi aasman ke ziine se tumhein khuda ne hamare liye banaya hai...
Amjad Islam Amjad
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren iid ke chaand ka didar bahana hi sahi...
Amjad Islam Amjad
guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare is tarah miri raat ko chamkao kisi din...
Amjad Islam Amjad
larzish nigah mein lahje mein luknat ajiib thi us avvalin visal ki vahshat ajiib thi...
Rahat Indori
suraj sitare chaand mire saath mein rahe jab tak tumhare haath mire haath mein rahe...
Qateel Shifai
uf vo marmar se tarasha hua shaffaf badan dekhne vaale use taj-mahal kahte hain...
Nida Fazli
bikhri zulfon ne sikhai mausamon ko shairi jhukti aankhon ne bataya mai-kashi kya chiiz hai...
Munawwar Rana
miri hatheli pe honTon se aisi mohr laga ki umr bhar ke liye main bhi surkh-ru ho jaun...
Shakeel Badayuni
un ka zikr un ki tamanna un ki yaad vaqt kitna qimti hai aaj kal...
Shakeel Badayuni
kya asar tha jazba-e-khamosh mein khud vo khich kar aa gae aaghosh mein...
Shakeel Badayuni
khush hun ki mira husn-e-talab kaam to aaya khaali hi sahi meri taraf jaam to aaya...
Nasir Kazmi
yaad aai vo pahli barish jab tujhe ek nazar dekha tha...
Ibn-e-Insha
sakhiyon se kab sakhiyan apne ji ke bhed chhupati hain ham se nahin to us se kah de karta kahan kalam hai chaand...
Altaf Hussain Hali
tum ko hazar sharm sahi mujh ko laakh zabt ulfat vo raaz hai ki chhupaya na jaega...
Kishwar Naheed
dil mein hai mulaqat ki khvahish ki dabi aag mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun...
Daya Shankar Naseem
tha sam pe ye us pari ka naqsha sab aankh mila kahte the aa...
Explore more on Diwan E Sukhan