DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Safar
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil koi hamari tarah umr bhar safar mein raha...
Ahmad Faraz
na manzilon ko na ham rahguzar ko dekhte hain ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain...
Ahmad Faraz
judaiyan to muqaddar hain phir bhi jaan-e-safar kuchh aur duur zara saath chal ke dekhte hain...
Faiz Ahmad Faiz
chalne ka hausla nahin rukna muhaal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko niDhaal kar diya...
Meer Taqi Meer
aafaq ki manzil se gaya kaun salamat asbab luTa raah mein yan har safari ka...
Parveen Shakir
chalne ka hausla nahin rukna muhal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko nidhal kar diya...
Parveen Shakir
justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe chaand ke hamrah ham har shab safar karte rahe...
Amjad Islam Amjad
itne khadshe nahin hain raston mein jis qadar khvahish-e-safar mein hain...
Qateel Shifai
daad-e-safar mili hai kise raah-e-shauq mein ham ne miTa diye hain nishan apne paanv ke...
Gulzar
zindagi yun hui basar tanha qafila saath aur safar tanha...
Shahryar
hai koi jo batae shab ke musafiron ko kitna safar hua hai kitna safar raha hai...
Dushyant Kumar
paanv TuuTe hue nazar aae ek Thahra hua safar dekha...
Meena Kumari Naaz
Na koi shahar na rasta na safar Muntashir zehn ki uljhi ghatein...
Shabnam Shakeel
Chalte rahe to kaun sa apna kamaal tha Ye wo safar tha jis mein thaharna muhaal tha...
Shakeel Azmi
Jaane kaisa rishta hai rahguzar ka qadmon se Thak ke baith jaun to rasta bulata hai...
Shakeel Azmi
Bichhad ke bhi vo mire saath hi raha har dam Safar ke baad bhi main rail mein sawar raha...
Shakeel Azmi
Phir yun hua thakan ka nasha aur badh gaya Aankhon mein doobta hua jaada laga hamein...
Sudarshan Faakir
Tere jaane mein aur aane mein Ham ne sadiyon ka faasla dekha...
Naseer Turabi
Main ik shajar ki tarah rah-guzar mein thahra hoon Thakan utaar ke tu kis taraf ravana hua...
Nadim Nadeem
Tha safar ham pe musallat so hamein chalna tha Warna ye dil to kai baar hua ruk jaate...
Abdul Hamid Adam
main mai-kade ki raah se ho kar nikal gaya warna safar hayaat ka kaafi taweel tha...
Rajinder Manchanda Bani
raah aasan dekh kar sab khush the phir main ne kaha soch leeje ek andaz-e-nazar mera bhi hai...
Rajinder Manchanda Bani
safar mein tanha qadam uthana mushkil hai saath tumhaare kabhi na thakne wala main...
Saqi Faruqi
mujhe khabar thi mira intizar ghar mein raha ye hadsa tha ki main umr bhar safar mein raha...
Ghazalein
Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jata
(Ahmad Faraz)
Ab Bhala Chhod Ke Ghar Kya Karte
(Parveen Shakir)
Explore more on Diwan E Sukhan