DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Samundar

Poetry Collection

Ash'aar

Bashir Badr
baDe logon se milne mein hamesha fasla rakhna jahan dariya samundar se mila dariya nahin rahta...
Bashir Badr
aankhon mein raha dil mein utar kar nahin dekha kashti ke musafir ne samundar nahin dekha...
Amjad Islam Amjad
har samundar ka ek sahil hai hijr ki raat ka kinara nahin...
Amjad Islam Amjad
ek nazar dekha tha us ne aage yaad nahin khul jaati hai dariya ki auqat samundar mein...
Kaifi Azmi
koi kahta tha samundar hun main aur miri jeb mein qatra bhi nahin...
Rahat Indori
main ne apni khushk aankhon se lahu chhalka diya ik samundar kah raha tha mujh ko paani chahiye...
Qateel Shifai
girte hain samundar mein baDe shauq se dariya lekin kisi dariya mein samundar nahin girta...
Mohsin Naqvi
ye mere dil ki havas dasht-e-be-karan jaisi vo teri aankh ke tevar samundaron vaale...
Gulzar
yun bhi ik baar to hota ki samundar bahta koi ehsas to dariya ki ana ka hota...
Ahmad Nadeem Qasmi
kaun kahta hai ki maut aayi to mar jaunga main to dariya hoon samundar mein utar jaunga...
Ahmad Nadeem Qasmi
ik safeena hai tiri yaad agar ik samundar hai miri tanhai...
Irfan Siddiqi
samundar ada-fahm tha ruk gaya ki ham paanv paani pe dharne ko the...
Explore more on Diwan E Sukhan