DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Social reality
Poetry Collection
Ash'aar
Amjad Islam Amjad
saae larazte rahte hain shahron ki galiyon mein rahte the insan jahan ab dahshat rahti hai...
Rahat Indori
khayal tha ki ye pathrav rok den chal kar jo hosh aaya to dekha lahu lahu ham the...
Qateel Shifai
muflis ke badan ko bhi hai chaadar ki zarurat ab khul ke mazaron pe ye elaan kiya jaae...
Munawwar Rana
farishte aa kar un ke jism par khushbu lagate hain vo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain...
Munawwar Rana
bojh uThana shauq kahan hai majburi ka sauda hai rahte rahte station par log quli ho jaate hain...
Munawwar Rana
gharibon par to mausam bhi hukumat karte rahte hain kabhi baarish kabhi garmi kabhi ThanDak ka qabza hai...
Gulzar
chulhe nahin jalae ki basti hi jal gai kuchh roz ho gae hain ab uThta nahin dhuan...
Gulzar
nakhuda dekh raha hai ki main girdab mein hun aur jo pul pe khaDe log hain akhbar se hain...
Habib Jalib
tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson saanche mein har ik gham ke chup-chaap dhali barson...
Ibn-e-Insha
vo jo tera dagh ghulami maathe par liye phirta hai us ka naam to insha Thahra nahaq ko badnam hai chaand...
Ada Jafarey
kin manzilon luTe hain mohabbat ke qafile insan zamin pe aaj gharib-ul-vatan sa hai...
Jan Nisar Akhtar
sharm aati hai ki us shahr mein ham hain ki jahan na mile bhiik to lakhon ka guzara hi na ho...
Shahryar
ham khush hain hamein dhuup virasat mein mili hai ajdad kahin peD bhi kuchh bo gae hote...
Iftikhar Arif
koi junun koi sauda na sar mein rakkha jaae bas ek rizq ka manzar nazar mein rakkha jaae...
Zafar Iqbal
ye ham jo peT se hi sochte hain shaam o sahar kabhi to jaaenge is daal-bhaat se aage...
Majrooh Sultanpuri
mujhe ye fikr sab ki pyaas apni pyaas hai saaqi tujhe ye zid ki khaali hai mira paimana barson se...
Dushyant Kumar
yahan tak aate aate suukh jaati hain kai nadiyan mujhe maalum hai paani kahan Thahra hua hoga...
Dushyant Kumar
maslahat-amez hote hain siyasat ke qadam tu na samjhega siyasat tu abhi nadan hai...
Dushyant Kumar
ye log homo-havan mein yaqin rakhte hain chalo yahan se chalen haath jal na jaae kahin...
Explore more on Diwan E Sukhan