DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Tamanna

Poetry Collection

Ash'aar

Faiz Ahmad Faiz
ik tarz-e-taghaful hai so vo un ko mubarak ik arz-e-tamanna hai so ham karte rahenge...
Jaun Elia
ganvai kis ki tamanna mein zindagi main ne vo kaun hai jise dekha nahin kabhi main ne...
Jaun Elia
hamari hi tamanna kyun karo tum tumhari hi tamanna kyun karen ham...
Sahir Ludhianvi
abhi zinda hun lekin sochta rahta hun khalvat mein ki ab tak kis tamanna ke sahaare ji liya main ne...
Jigar Moradabadi
aaghaz-e-mohabbat ka anjam bas itna hai jab dil mein tamanna thi ab dil hi tamanna hai...
Qateel Shifai
main ghar se teri tamanna pahan ke jab niklun barahna shahr mein koi nazar na aae mujhe...
Altaf Hussain Hali
nazar aati nahin ab dil mein tamanna koi baad muddat ke tamanna miri bar aai hai...
Kishwar Naheed
us ko fursat bhi nahin mujh ko tamanna bhi nahin phir khalish kya hai ki rah rah ke vafa dhunDhti hai...
Fahmida Riaz
miri bebasi mujh pe zahir hai lekin tumhaari tamanna tumhaari tamanna...
Naseer Turabi
Ye rah-e-tamanna hai yahan dekh ke chalna Is raah mein sar milte hain patthar nahin milta...
Shad Azimabadi
tamannaoan mein uljhaya gaya hoon khilaune de ke bahlaya gaya hoon...
Explore more on Diwan E Sukhan