DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Trending reels status
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
yaad aai hai to phir TuuT ke yaad aai hai koi guzri hui manzil koi bhuli hui dost...
Ahmad Faraz
ruke to gardishen us ka tavaf karti hain chale to us ko zamane Thahar ke dekhte hain...
Faiz Ahmad Faiz
har charagar ko charagari se gurez tha varna hamein jo dukh the bahut la-dava na the...
Meer Taqi Meer
hazar martaba behtar hai baadshahi se agar nasib tire kuche ki gadai ho...
Jaun Elia
apne sab yaar kaam kar rahe hain aur ham hain ki naam kar rahe hain...
Jaun Elia
Thiik hai khud ko ham badalte hain shukriya mashvarat ka chalte hain...
Jaun Elia
us ne goya mujhi ko yaad rakha main bhi goya usi ko bhul gaya...
Jaun Elia
ab khaak uD rahi hai yahan intizar ki ai dil ye baam-o-dar kisi jaan-e-jahan ke the...
Jaun Elia
bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-bada kar liya kya...
Jaun Elia
vo munkir hai to phir shayad har ik maktub-e-shauq us ne sar-angusht-e-hinai se khalaon mein likha hoga...
Parveen Shakir
raat ke shayad ek baje hain sota hoga mera chaand...
Parveen Shakir
chehra o naam ek saath aaj na yaad aa sake vaqt ne kis shabih ko khvab o khayal kar diya...
Parveen Shakir
supurd kar ke use chandni ke hathon mein main apne ghar ke andheron ko lauT aaungi...
Momin Khan Momin
mere taghir-e-rang ko mat dekh tujh ko apni nazar na ho jaae...
Sahir Ludhianvi
mere khvabon mein bhi tu mere khayalon mein bhi tu kaun si chiiz tujhe tujh se juda pesh karun...
Firaq Gorakhpuri
na koi vaada na koi yaqin na koi umid magar hamein to tira intizar karna tha...
Firaq Gorakhpuri
kami na ki tire vahshi ne khaak uDane mein junun ka naam uchhalta raha zamane mein...
Akbar Allahabadi
dava bahut baDa hai riyazi mein aap ko tul-e-shab-e-firaq ko to naap dijiye...
Akbar Allahabadi
membari se aap par to varnish ho jaegi qaum ki haalat mein kuchh is se jila ho ya na ho...
Josh Malihabadi
koi aaya tiri jhalak dekhi koi bola suni tiri aavaz...
Jigar Moradabadi
donon hathon se luTti hai hamein kitni zalim hai teri angDai...
Jigar Moradabadi
mohabbat mein ham to jiye hain jiyenge vo honge koi aur mar jaane vaale...
Hasrat Mohani
chheDa hai dast-e-shauq ne mujh se khafa hain vo goya ki apne dil pe mujhe ikhtiyar hai...
Bashir Badr
mahak rahi hai zamin chandni ke phulon se khuda kisi ki mohabbat pe muskuraya hai...
Wasi Shah
meri to por por mein khushbu si bas gai us par tira khayal hai aur chaand-raat hai...
Kaifi Azmi
ab aage jo bhi ho anjam dekha jaega khuda talash liya aur bandagi kar li...
Rahat Indori
maza chakha ke hi maana hun main bhi duniya ko samajh rahi thi ki aise hi chhoD dunga use...
Rahat Indori
sitaro aao miri raah mein bikhar jaao ye mera hukm hai halanki kuchh nahin hun main...
Qateel Shifai
yun barasti hain tasavvur mein purani yaaden jaise barsaat ki rim-jhim mein saman hota hai...
Qateel Shifai
tumhari be-rukhi ne laaj rakh li bada-khane ki tum aankhon se pila dete to paimane kahan jaate...
Nida Fazli
naqsha uTha ke koi naya shahr dhunDhiye is shahr mein to sab se mulaqat ho gai...
Nida Fazli
kuchh log yunhi shahr mein ham se bhi khafa hain har ek se apni bhi tabiat nahin milti...
Nida Fazli
kis se puchhun ki kahan gum hun kai barson se har jagah dhunDhta phirta hai mujhe ghar mera...
Munawwar Rana
kisi ke zakhm par chahat se paTTi kaun baandhega agar bahnen nahin hongi to rakhi kaun baandhega...
Munawwar Rana
main raah-e-ishq ke har pech-o-kham se vaqif hun ye rasta mire ghar se nikal ke jaata hai...
Shakeel Badayuni
shaam-e-gham karvaT badalta hi nahin vaqt bhi khuddar hai tere baghair...
Shakeel Badayuni
gham-e-umr-e-mukhtasar se abhi be-khabar hain kaliyan na chaman mein phenk dena kisi phuul ko masal kar...
Nasir Kazmi
din guzara tha baDi mushkil se phir tira vaada-e-shab yaad aaya...
Nasir Kazmi
apni dhun mein rahta hun main bhi tere jaisa hun...
Nasir Kazmi
na ab vo yaadon ka chaDhta dariya na fursaton ki udaas barkha yunhi zara si kasak hai dil mein jo zakhm gahra tha bhar gaya vo...
Gulzar
main chup karata hun har shab umaDti barish ko magar ye roz gai baat chheD deti hai...
Habib Jalib
ye aur baat teri gali mein na aaen ham lekin ye kya ki shahr tira chhoD jaaen ham...
Ibn-e-Insha
ek se ek junun ka maara is basti mein rahta hai ek hamin hushiyar the yaaro ek hamin bad-naam hue...
Ibn-e-Insha
sakhiyon se kab sakhiyan apne ji ke bhed chhupati hain ham se nahin to us se kah de karta kahan kalam hai chaand...
Zehra Nigah
ham jo pahunche to rahguzar hi na thi tum jo aae to manzilen laae...
Ada Jafarey
aap hi markaz-e-nigah rahe jaane ko chaar-su nigah gai...
Ada Jafarey
aamada-e-karam hai ye kis ki nigah-e-naaz dil shikva-e-sitam se pasheman hai aaj kyon...
Kishwar Naheed
dil mein hai mulaqat ki khvahish ki dabi aag mehndi lage hathon ko chhupa kar kahan rakkhun...
Kishwar Naheed
ab to badan ke jalne ki bu shahr bhar mein hai kahna bhi narava hai so kahta nahin koi...
Ameer Minai
abhi aae abhi jaate ho jaldi kya hai dam le lo na chheDunga main jaisi chahe tum mujh se qasam le lo...
Ameer Minai
bosa liya jo us lab-e-shirin ka mar gae di jaan ham ne chashma-e-aab-e-hayat par...
Ameer Minai
vahi rah jaate hain zabanon par sher jo intikhab hote hain...
Ameer Minai
ye kahunga ye kahunga ye abhi kahte ho samne un ke bhi jab hazrat-e-dil yaad rahe...
Daya Shankar Naseem
makan siine ka paata hun dam-ba-dam khaali nazar bacha ke tu ai dil kidhar ko jaata hai...
Asrarul Haq Majaz
phir miri aankh ho gai namnak phir kisi ne mizaj puchha hai...
Siraj Aurangabadi
roza-daran-e-judai kun kham-e-abru-e-yaar mah-e-id-e-ramazan tha mujhe maalum na tha...
Siraj Aurangabadi
vo zulf-e-pur-shikan lagti nahin haat mujhe saari pareshani yahi hai...
Siraj Aurangabadi
bagula jin ke sar par chatr-e-shahi hai zamin masnad vahi aqlim-e-gham mein aah ki naubat bajate hain...
Wali Dakni
dil-e-ushshaq kyun na ho raushan jab khayal-e-sanam charagh hua...
Wali Dakni
ai 'vali' rakh dil mein aave vo sanam aahang-e-shauq naghma-e-ushshaq ka aave agar qanun mujhe...
Shahryar
kaun si baat hai jo us mein nahin us ko dekhe miri nazar se koi...
Shahryar
ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai hadd-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai...
Shahryar
zindagi jaisi tavaqqo thi nahin kuchh kam hai har ghaDi hota hai ehsas kahin kuchh kam hai...
Shahryar
pichhle safar mein jo kuchh biita biit gaya yaaro lekin agla safar jab bhi tum karna dekho tanha mat karna...
Khwaja Meer Dard
har-chand tujhe sabr nahin dard va-lekin itna bhi na miliyo ki vo badnam bahut ho...
Khwaja Meer Dard
dard tu jo kare hai ji ka ziyan faeda us ziyan mein kuchh hai...
Bahadur Shah Zafar
khvab mera hai ain bedari main to us mein bhi dekhta kuchh hun...
Mohammad Rafi Sauda
kya zid hai mire saath khuda jaane vagarna kaafi hai tasalli ko miri ek nazar bhi...
Kaleem Aajiz
kare hai adavat bhi vo is ada se lage hai ki jaise mohabbat kare hai...
Kaleem Aajiz
vo sitam na Dhae to kya kare use kya khabar ki vafa hai kya? tu usi ko pyaar kare hai kyun ye kaleem tujh ko hua hai kya?...
Iftikhar Arif
sitaron se bhara ye aasman kaisa lagega hamare baad tum ko ye jahan kaisa lagega...
Iftikhar Arif
kahin kahin se kuchh misre ek-aadh ghazal kuchh sher is punji par kitna shor macha sakta tha main...
Iftikhar Arif
tamasha karne valon ko khabar di ja chuki hai ki parda kab girega kab tamasha khatm hoga...
Iftikhar Arif
vo mere naam ki nisbat se mo'tabar Thahre gali gali miri rusvaiyon ka sathi ho...
Iftikhar Arif
koi junun koi sauda na sar mein rakkha jaae bas ek rizq ka manzar nazar mein rakkha jaae...
Farhat Ehsas
andar ke hadson pe kisi ki nazar nahin ham mar chuke hain aur hamein is ki khabar nahin...
Farhat Ehsas
ab dekhta hun main to vo asbaab hi nahin lagta hai raaste mein kahin khul gaya badan...
Farhat Ehsas
aankhon ki pyaliyon mein barish machi hui hai sahra mein koi manzar shadab aa raha hai...
Farhat Ehsas
vo jo ik shor sa barpa hai amal hai mera ye jo tanhai barasti hai saza meri hai...
Farhat Ehsas
dast-e-junun bhi tang hua dasht-e-ishq mein ab chaak kya karun ki gareban hi nahin...
Muneer Niyazi
kisi akeli shaam ki chup mein giit purane gaa ke dekho...
Muneer Niyazi
hai muneer teri nigah mein koi baat gahre malal ki...
Muneer Niyazi
mujh se bahut qarib hai tu phir bhi ai muneer parda sa koi mere tire darmiyan to hai...
Muneer Niyazi
main khush nahin hun bahut duur us se hone par jo main nahin tha to us par shabab kyun aaya...
Muneer Niyazi
shayad koi dekhne vaala ho jaae hairan kamre ki divaron par koi naqsh bana kar dekh...
Muneer Niyazi
koyalen kukin bahut divar-e-gulshan ki taraf chaand damka hauz ke shaffaf paani mein bahut...
Waseem Barelvi
phuul to phuul hain aankhon se ghire rahte hain kanTe be-kar hifazat mein lage rahte hain...
Waseem Barelvi
safar ke saath safar ke nae masail the gharon ka zikr to raste mein chhuuT jaata tha...
Waseem Barelvi
aap bas kirdar hain apni haden pahchaniye varna phir ik din kahani se nikale jaenge...
Zafar Iqbal
yun mohabbat se na de meri mohabbat ka javab ye saza sakht hai thoDi si riayat kar de...
Zafar Iqbal
mira meyar meri bhi samajh mein kuchh nahin aata nae lamhon mein tasviren purani maang leta hun...
Zafar Iqbal
suna hai vo mire baare mein sochta hai bahut khabar to hai hi magar mo'tabar zyada nahin...
Zafar Iqbal
lagta hai itna vaqt mire Duubne mein kyun andaza mujh ko khvab ki gahrai se hua...
Zafar Iqbal
is tarah bhi chala hai kabhi karobar-e-shauq ruThe koi to us ko mana lena chahiye...
Zafar Iqbal
meri suraj se mulaqat bhi ho sakti hai sukhne Daal diya jaun jo dhoya hua main...
Zafar Iqbal
har naya zaiqa chhoDa hai jo auron ke liye pahle apne liye ijad bhi khud main ne kiya...
Zafar Iqbal
kahan tak ho saka kar-e-mohabbat kya bataen tumhaare samne hai kaam jitna ho raha hai...
Zafar Iqbal
aasman par koi tasvir banata hun zafar ki rahe ek taraf aur lage chaaron taraf...
Zafar Iqbal
main khvab-e-sabz tha donon ke darmiyan zafar ki aasman tha sunahra zamin bhuri thi...
Arzoo Lakhnavi
apni apni gardish-e-raftar puuri kar to len do sitare phir kisi din ek ja ho jaenge...
Arzoo Lakhnavi
barson bhaTka kiya aur phir bhi na un tak pahuncha ghar to maalum tha rasta mujhe maalum na tha...
Arzoo Lakhnavi
jitne husn-abad mein pahonche hosh-o-khirad kho kar pahonche maal bhi to utne ka nahin ab jitna kuchh mahsul paDa...
Tehzeeb Hafi
Door umeed ki khidkiyon se koi jhankta hai yahan Aur mere gali chhodne tak daricha nahin chhodta...
Shaikh Ibrahim Zauq
sab ko duniya ki havas khvar liye phirti hai kaun phirta hai ye murdar liye phirti hai...
Shaikh Ibrahim Zauq
ek patthar pujne ko shaikh ji kaabe gae zauq har but qabil-e-bosa hai is but-khane mein...
Shaikh Ibrahim Zauq
ho gaya mauquf ye 'sauda' ka bilkul ehtiraq laala be-dagh-e-siyah paane laga nashv-o-numa...
Majrooh Sultanpuri
ab sochte hain laenge tujh sa kahan se ham uThne ko uTh to aae tire aastan se ham...
Majrooh Sultanpuri
baDhai mai jo mohabbat se aaj saaqi ne ye kanpe haath ki saghar bhi ham uTha na sake...
Dushyant Kumar
yahan tak aate aate suukh jaati hain kai nadiyan mujhe maalum hai paani kahan Thahra hua hoga...
Dushyant Kumar
ek qabristan mein ghar mil raha hai jis mein tah-khanon se tah-khane lage hain...
Makhdoom Mohiuddin
vasl hai un ki ada hijr hai un ka andaz kaun sa rang bharun ishq ke afsanon mein...
Hafeez Jalandhari
rang badla yaar ne vo pyaar ki baaten gaiin vo mulaqaten gaiin vo chandni raaten gaiin...
Hafeez Jalandhari
naseh ko bulao mira iman sanbhale phir dekh liya us ne usi ek nazar se...
Hafeez Jalandhari
ai miri jaan apne ji ke siva kaun tera hai kaun mera hai...
Hafeez Jalandhari
tauba tauba shaikh ji tauba ka phir kis ko khayal jab vo khud kah de ki pi thoDi si pi mere liye...
Explore more on Diwan E Sukhan