DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Viral reels status
Poetry Collection
Ash'aar
Jaun Elia
tumhaara hijr mana lun agar ijazat ho main dil kisi se laga lun agar ijazat ho...
Jaun Elia
main le ke dil ke rishte ghar se nikal chuka hun divar-o-dar ke rishte divar-o-dar mein honge...
Momin Khan Momin
Thaani thi dil mein ab na milenge kisi se ham par kya karen ki ho gae na-chaar ji se ham...
Sahir Ludhianvi
main zindagi ka saath nibhata chala gaya har fikr ko dhuen mein uData chala gaya...
Firaq Gorakhpuri
aane vali naslen tum par fakhr karengi ham-asro jab bhi un ko dhyan aaega tum ne firaq ko dekha hai...
Firaq Gorakhpuri
zabt kiije to dil hai angara aur agar roiye to paani hai...
Dagh Dehlvi
sab log jidhar vo hain udhar dekh rahe hain ham dekhne valon ki nazar dekh rahe hain...
Dagh Dehlvi
main bhi hairan hun ai dagh ki ye baat hai kya vaada vo karte hain aata hai tabassum mujh ko...
Akbar Allahabadi
bole ki tujh ko diin ki islah farz hai main chal diya ye kah ke ki aadab arz hai...
Akbar Allahabadi
shaikh sahab khuda se Darte hon main to angrezon hi se Darta hun...
Jigar Moradabadi
labon pe mauj-e-tabassum nigah mein barq-e-ghazab koi batae ye andaz-e-barhami kya hai...
Hasrat Mohani
dopahar ki dhuup mein mere bulane ke liye vo tira koThe pe nange paanv aana yaad hai...
Hasrat Mohani
us na-khuda ke zulm o sitam haae kya karun kashti miri Duboi hai sahil ke aas-paas...
Hasrat Mohani
dava-e-aashiqi hai to hasrat karo nibah ye kya ke ibtida hi mein ghabra ke rah gae...
Bashir Badr
gharon pe naam the namon ke saath ohde the bahut talash kiya koi aadmi na mila...
Bashir Badr
is shahr ke baadal tiri zulfon ki tarah hain ye aag lagate hain bujhane nahin aate...
Nida Fazli
muTThi bhar logon ke hathon mein lakhon ki taqdiren hain juda juda hain dharm ilaqe ek si lekin zanjiren hain...
Nida Fazli
brindaban ke kirshn kanhayya allah hu bansi radha giita gaiyya allah hu...
Munawwar Rana
tumhaare shahr mein mayyat ko sab kandha nahin dete hamare gaanv mein chhappar bhi sab mil kar uThate hain...
Munawwar Rana
ai khaak-e-vatan tujh se main sharminda bahut hun mahngai ke mausam mein ye tyauhar paDa hai...
Shakeel Badayuni
tum phir usi ada se angDai le ke hans do aa jaega palaT kar guzra hua zamana...
Nasir Kazmi
main is jaanib tu us jaanib biich mein patthar ka dariya tha...
Gulzar
raakh ko bhi kured kar dekho abhi jalta ho koi pal shayad...
Gulzar
raat guzarte shayad thoDa vaqt lage dhuup unDelo thoDi si paimane mein...
Altaf Hussain Hali
yaran-e-tez-gaam ne mahmil ko ja liya ham mahv-e-nala-e-jaras-e-karvan rahe...
Altaf Hussain Hali
tazir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib baDhta hai aur zauq-e-gunah yaan saza ke baad...
Zehra Nigah
divanon ko ab vusat-e-sahra nahin darkar vahshat ke liye saya-e-divar bahut hai...
Zehra Nigah
vo saath na deta to vo daad na deta to ye likhne-likhane ka jo bhi hai khalal jaata...
Ada Jafarey
riit bhi apni rut bhi apni dil rasm-e-duniya kya jaane...
Ameer Minai
shab-e-visal bahut kam hai aasman se kaho ki joD de koi TukDa shab-e-judai ka...
Ameer Minai
qasr-e-tan bigDa kisi ka gorkan ki ban paDi ghar kisi ka gir paDa ghar bin gaya mazdur ka...
Jan Nisar Akhtar
ishq mein kya nuqsan nafa hai ham ko kya samjhate ho ham ne saari umr hi yaaro dil ka karobar kiya...
Ali Sardar Jafri
isi duniya mein dikha den tumhein jannat ki bahaar shaikh ji tum bhi zara ku-e-butan tak aao...
Asrarul Haq Majaz
izn-e-khiram lete hue aasman se ham haT kar chale hain rahguzar-e-karvan se ham...
Siraj Aurangabadi
masjid mein tujh bhanvon ki ai qibla-e-dil-o-jaan palken hain muqtadi aur putli imaam goya...
Siraj Aurangabadi
shor hai bas-ki tujh malahat ka dil hamara hua hai kan-e-namak...
Shahryar
tira khayal bhi teri tarah sitamgar hai jahan pe chahiye aana vahin nahin aata...
Bahadur Shah Zafar
ham apna ishq chamkaen tum apna husn chamkao ki hairan dekh kar aalam hamein bhi ho tumhein bhi ho...
Bahadur Shah Zafar
yaar tha gulzar tha baad-e-saba thi main na tha laiq-e-pabos-e-janan kya hina thi main na tha...
Muneer Niyazi
ab kaun muntazir hai hamare liye vahan shaam aa gai hai lauT ke ghar jaaen ham to kya...
Muneer Niyazi
gali ke baahar tamam manzar badal gae the jo saya-e-ku-e-yaar utra to main ne dekha...
Waseem Barelvi
bahut se khvab dekhoge to aankhen tumhaara saath dena chhoD dengi...
Waseem Barelvi
tahrir se varna miri kya ho nahin sakta ik tu hai jo lafzon mein ada ho nahin sakta...
Zafar Iqbal
tira chaDha hua dariya samajh mein aata hai tire khamosh kinare nahin samajhta hun...
Arzoo Lakhnavi
khamoshi meri maani-khez thi ai aarzu kitni ki jis ne jaisa chaha vaisa afsana bana Daala...
Arzoo Lakhnavi
kis gul ki bu hai daman-e-dil mein basi hui chalti hai chheDti hui baad-e-saba mujhe...
Arzoo Lakhnavi
roka tha dam bhar lahrata aansu aa aa gaya hai danton pasina...
Shaikh Ibrahim Zauq
kitne muflis ho gae kitne tavangar ho gae khaak mein jab mil gae donon barabar ho gae...
Explore more on Diwan E Sukhan