DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Whatsapp status message

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf so ham bhi mojaze apne hunar ke dekhte hain...
Ahmad Faraz
aisa hai ki sab khvab musalsal nahin hote jo aaj to hote hain magar kal nahin hote...
Meer Taqi Meer
kahte to ho yun kahte yun kahte jo vo aata ye kahne ki baaten hain kuchh bhi na kaha jaata...
Allama Iqbal
jinhein main dhunDta tha aasmanon mein zaminon mein vo nikle mere zulmat-khana-e-dil ke makinon mein...
Jaun Elia
zindagi kya hai ik kahani hai ye kahani nahin sunani hai...
Momin Khan Momin
kabhi ham mein tum mein bhi chaah thi kabhi ham se tum se bhi raah thi kabhi ham bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho...
Firaq Gorakhpuri
raat bhi niind bhi kahani bhi haae kya chiiz hai javani bhi...
Dagh Dehlvi
dagh ko kaun dene vaala tha jo diya ai khuda diya tu ne...
Akbar Allahabadi
rah-o-rasm-e-mohabbat in hasinon se main kya rakkhun jahan tak dekhta hun nafa un ka hai zarar apna...
Bashir Badr
main chup raha to aur ghalat-fahmiyan baDhin vo bhi suna hai us ne jo main ne kaha nahin...
Kaifi Azmi
belche laao kholo zamin ki tahen main kahan dafn hun kuchh pata to chale...
Nida Fazli
dil mein na ho jurat to mohabbat nahin milti khairat mein itni baDi daulat nahin milti...
Tehzeeb Hafi
Us ki zaban mein itna asar hai ki nisf shab Wo raushni ki baat kare aur diya jale...
Explore more on Diwan E Sukhan