DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Aahat

Poetry Collection

Ash'aar

Firaq Gorakhpuri
bahut pahle se un qadmon ki aahaT jaan lete hain tujhe ai zindagi ham duur se pahchan lete hain...
Gulzar
dil par dastak dene kaun aa nikla hai kis ki aahaT sunta hun virane mein...
Zehra Nigah
shaam dhale aahaT ki kirnen phuTi thiin suraj Duub ke mere ghar mein nikla tha...
Jan Nisar Akhtar
aahaT si koi aae to lagta hai ki tum ho saaya koi lahrae to lagta hai ki tum ho...
Meena Kumari Naaz
Tere qadmon ki aahat ko ye dil hai dhoondta har dam Har ik aawaz par ik thartharahat hoti jaati hai...
Ahmad Nadeem Qasmi
andaz hu-ba-hu tiri aawaz-e-pa ka tha dekha nikal ke ghar se to jhonka hawa ka tha...
Irfan Siddiqi
palat na jaen hamesha ko tere aangan se gudaz lamhon ki be-khwab aahaton se na rooth...
Rajinder Manchanda Bani
is andhere mein na ik gaam bhi rukna yaaro ab to ik doosre ki aahatein kaam aayengi...
Saghar Siddiqui
ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahat se gul khile hain mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahaar sa hai...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan