DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Arrogance
Poetry Collection
Ash'aar
Jaun Elia
ham yahan khud aae hain laaya nahin koi hamein aur khuda ka ham ne apne naam par rakkha hai naam...
Jigar Moradabadi
ya vo the khafa ham se ya ham hain khafa un se kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai...
Hasrat Mohani
husn-e-be-parva ko khud-bin o khud-ara kar diya kya kiya main ne ki izhar-e-tamanna kar diya...
Shakeel Badayuni
ye ada-e-be-niyazi tujhe bevafa mubarak magar aisi be-rukhi kya ki salam tak na pahunche...
Ameer Minai
kis dhiTai se vo dil chhin ke kahte hain ameer vo mira ghar hai rahe jis mein mohabbat meri...
Mohammad Rafi Sauda
kyun na afii chale har ek jagah makDa kar na paDa us ko tiri zulf-e-siyah-faam se kaam...
Kaleem Aajiz
rakhna hai kahin paanv to rakkho ho kahin paanv chalna zara aaya hai to itrae chalo ho...
Iftikhar Arif
khud ko bikharte dekhte hain kuchh kar nahin paate hain phir bhi log khudaon jaisi baaten karte hain...
Waseem Barelvi
zara sa qatra kahin aaj agar ubharta hai samundaron hi ke lahje mein baat karta hai...
Umair Najmi
Tum pe kya khaak asar hoga mire sheron ka Tum ko to meer-taqi-'meer' nahin kheench saka...
Adil Mansuri
kabhi khaak walon ki baatein bhi sun kabhi aasmanon se neeche utar...
Explore more on Diwan E Sukhan