DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Aurat

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
vajud-e-zan se hai tasvir-e-kaenat mein rang isi ke saaz se hai zindagi ka soz-e-darun...
Sahir Ludhianvi
aurat ne janam diya mardon ko mardon ne use bazar diya jab ji chaha masla kuchla jab ji chaha dhutkar diya...
Akbar Allahabadi
yahan ki auraton ko ilm ki parva nahin be-shak magar ye shauharon se apne be-parva nahin hotin...
Bashir Badr
ek aurat se vafa karne ka ye tohfa mila jaane kitni auraton ki bad-duaen saath hain...
Qateel Shifai
maana jivan mein aurat ik baar mohabbat karti hai lekin mujh ko ye to bata de kya tu aurat zaat nahin...
Munawwar Rana
chalti phirti hui aankhon se azaan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai maan dekhi hai...
Munawwar Rana
kal apne-aap ko dekha tha maan ki aankhon mein ye aaina hamein buDha nahin batata hai...
Munawwar Rana
ghar mein rahte hue ghairon ki tarah hoti hain laDkiyan dhaan ke paudon ki tarah hoti hain...
Habib Jalib
tu aag mein ai aurat zinda bhi jali barson saanche mein har ik gham ke chup-chaap dhali barson...
Zehra Nigah
aurat ke khuda do hain haqiqi o majazi par us ke liye koi bhi achchha nahin hota...
Zehra Nigah
ek ke ghar ki khidmat ki aur ek ke dil se mohabbat ki donon farz nibha kar us ne saari umr ibadat ki...
Ada Jafarey
sadiyon se mire paanv tale jannat-e-insan main jannat-e-insan ka pata dhunDh rahi hun...
Kishwar Naheed
javan gehun ke kheton ko dekh kar ro den vo laDkiyan ki jinhein bhuul baiThin maaen bhi...
Kishwar Naheed
mardon ko sab rava pa aurat ko narava sharm-o-haya ka shahr mein charcha bhi hai ajab...
Asrarul Haq Majaz
tire maathe pe ye aanchal bahut hi khuub hai lekin tu is aanchal se ik parcham bana leti to achchha tha...
Asrarul Haq Majaz
bataun kya tujhe ai ham-nashin kis se mohabbat hai main jis duniya mein rahta hun vo is duniya ki aurat hai...
Iftikhar Arif
dua ko haat uThate hue larazta hun kabhi dua nahin mangi thi maañ ke hote hue...
Iftikhar Arif
beTiyan baap ki aankhon mein chhupe khvab ko pahchanti hain aur koi dusra is khvab ko paDh le to bura maanti hain...
Farhat Ehsas
tamam paikar-e-badsurti hai mard ki zaat mujhe yaqin hai khuda mard ho nahin sakta...
Farhat Ehsas
aurten kaam pe nikli thiin badan ghar rakh kar jism khaali jo nazar aae to mard aa baiThe...
Farhat Ehsas
qissa-e-aadam mein ek aur hi vahdat paida kar li hai main ne apne andar apni aurat paida kar li hai...
Muneer Niyazi
shahr ka tabdil hona shaad rahna aur udaas raunaqen jitni yahan hain aurton ke dam se hain...
Abdul Hamid Adam
khuda ne gadh to diya aalam-e-wujud magar sajawaton ki bina auraton ki zaat hui...
Explore more on Diwan E Sukhan