DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Beautiful lines

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
vo aae ghar mein hamare khuda ki qudrat hai kabhi ham un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain...
Ahmad Faraz
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata ye baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain...
Meer Taqi Meer
parastish ki yan tak ki ai but tujhe nazar mein sabhon ki khuda kar chale...
Parveen Shakir
kanTon mein ghire phuul ko chum aaegi lekin titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha...
Sahir Ludhianvi
maana ki is zamin ko na gulzar kar sake kuchh khaar kam to kar gae guzre jidhar se ham...
Sahir Ludhianvi
sansar ki har shai ka itna hi fasana hai ik dhund se aana hai ik dhund mein jaana hai...
Sahir Ludhianvi
milti hai zindagi mein mohabbat kabhi kabhi hoti hai dilbaron ki inayat kabhi kabhi...
Dagh Dehlvi
urdu hai jis ka naam hamin jaante hain dagh hindostan mein dhuum hamari zaban ki hai...
Jigar Moradabadi
aankhon mein bas ke dil mein sama kar chale gae khvabida zindagi thi jaga kar chale gae...
Hasrat Mohani
hasrat ki bhi qubul ho mathura mein haziri sunte hain aashiqon pe tumhaara karam hai aaj...
Nida Fazli
baagh mein jaane ke aadab hua karte hain kisi titli ko na phulon se uDaya jaae...
Shakeel Badayuni
shaguftagi-e-dil-e-karvan ko kya samjhe vo ik nigah jo uljhi hui bahaar mein hai...
Ibn-e-Insha
khaar-o-khas-o-khashak to jaanen ek tujhi ko khabar na mile ai gul-e-khubi ham to abas badnaam hue gulzar ke biich...
Zehra Nigah
der tak raushni rahi kal raat main ne oDhi thi chandni kal raat...
Ada Jafarey
aa dekh ki mere aansuon mein ye kis ka jamal aa gaya hai...
Ali Sardar Jafri
tah-e-aariz jo farozan hain hazaron shamen lutf-e-iqrar hai ya shokhi-e-inkar ka rang...
Asrarul Haq Majaz
ishq ka zauq-e-nazara muft mein badnam hai husn khud be-taab hai jalva dikhane ke liye...
Asrarul Haq Majaz
phir kisi ke samne chashm-e-tamanna jhuk gai shauq ki shokhi mein rang-e-ehtaram aa hi gaya...
Siraj Aurangabadi
ai nasim-e-sahari bu-e-mohabbat le aa turra-e-yaar sati itr ki mahkar kun khol...
Wali Dakni
dekhna har subh tujh rukhsar ka hai mutala matla-e-anvar ka...
Shahryar
ik sirf hamin mai ko aankhon se pilate hain kahne ko to duniya mein mai-khane hazaron hain...
Shahryar
aks-e-yaad-e-yaar ko dhundla kiya hai main ne khud ko jaan kar tanha kiya hai...
Iftikhar Arif
beTiyan baap ki aankhon mein chhupe khvab ko pahchanti hain aur koi dusra is khvab ko paDh le to bura maanti hain...
Muneer Niyazi
kaTi hai jis ke khayalon mein umr apni muneer maza to jab hai ki us shokh ko pata hi na ho...
Muneer Niyazi
khushbu ki divar ke pichhe kaise kaise rang jame hain jab tak din ka suraj aae us ka khoj lagate rahna...
Waseem Barelvi
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTen saliqa-mand shakhon ka lachak jaana zaruri hai...
Tehzeeb Hafi
Dastaan hoon main ik taweel magar Tu jo sun le to mukhtasar bhi hoon...
Tehzeeb Hafi
Ped mujhe hasrat se dekha karte the Main jangal mein paani laya karta tha...
Tehzeeb Hafi
Surkh labon se sabz duayein phooti hain Peele phoolon tum ko neeli aankhen dekhen...
Tehzeeb Hafi
Dil bhi kaisa darakht hai hafi Jo teri yaad se hara ho jaye...
Shaikh Ibrahim Zauq
tavazo ka tariqa sahibo puchho surahi se ki jaari faiz bhi hai aur jhuki jaati hai gardan bhi...
Dushyant Kumar
nazar-navaz nazara badal na jaae kahin zara si baat hai munh se nikal na jaae kahin...
Explore more on Diwan E Sukhan