DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Companion
Poetry Collection
Ash'aar
Nasir Kazmi
o pichhli rut ke saathi ab ke baras main tanha hun...
Kaleem Aajiz
yahi ham-nava yahi ham-sukhan yahi ham-nishaan yahi ham-vatan miri shairi hi bataegi mira naam kya hai pata hai kya?...
Tehzeeb Hafi
Main jis ke saath kai din guzaar aaya hoon Wo mere saath basar raat kyun nahin karta...
Naseer Turabi
Vo ham-safar tha magar us se ham-nawai na thi Ki dhuup chhanv ka aalam raha judai na thi...
Ahmad Mushtaq
tanhai mein karni to hai ik baat kisi se lekin wo kisi waqt akela nahin hota...
Ahmad Nadeem Qasmi
main kashti mein akela to nahin hoon mire hamrah dariya ja raha hai...
Khalilur Rahman Azmi
zara jo tez chale to koi bhi saath na tha hisar-e-fikr hi bas apna pasban hua...
Khumar Barabankavi
dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere 'khumar' main ne to apna safar tamam kiya...
Khumar Barabankavi
chaar din ka hi saath tha lekin zindagi ai 'khumar' le doobi...
Mohammad Alvi
ik diya der se jalta hoga saath thodi si hawa le jaun...
Rajinder Manchanda Bani
kisi ke lautne ki jab sada suni to khula ki mere saath koi aur bhi safar mein tha...
Rajinder Manchanda Bani
safar mein tanha qadam uthana mushkil hai saath tumhaare kabhi na thakne wala main...
Shakeb Jalali
ham-safar rah gaye bahut peechhe aao kuchh der ko thahar jaayen...
Shakeb Jalali
mujh se milne shab-e-gham aur to kaun aayega mera saaya hai jo deewar pe jam jayega...
Nazeer Akbarabadi
akela us ko na chhoda jo ghar se nikla wo har ik bahane se main us sanam ke saath raha...
Nazeer Akbarabadi
ham haal to kah sakte hain apna pa kahein kya jab wo idhar aate hain to tanha nahin aate...
Nazeer Akbarabadi
main dast-o-gareban hoon dam-e-baz-paseen se hamdam use laata hai to la jald kahin se...
Aziz Bano Darab Wafa
zameen mom ki hoti hai mere qadmon mein mira sharik-e-safar aaftab hota hai...
Explore more on Diwan E Sukhan