DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Deedar

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata ye baar baar jo aankhon ko mal ke dekhte hain...
Allama Iqbal
zahir ki aankh se na tamasha kare koi ho dekhna to dida-e-dil va kare koi...
Momin Khan Momin
mira ji to aankhon mein aaya ye sunte ki didar bhi ek din aam hoga...
Jigar Moradabadi
suna hai hashr mein har aankh use be-parda dekhegi mujhe Dar hai na tauhin-e-jamal-e-yaar ho jaae...
Hasrat Mohani
jo aur kuchh ho tiri diid ke siva manzur to mujh pe khvahish-e-jannat haram ho jaae...
Amjad Islam Amjad
jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren iid ke chaand ka didar bahana hi sahi...
Mohsin Naqvi
tumhein jab ru-ba-ru dekha karenge ye socha hai bahut socha karenge...
Ameer Minai
kaun si ja hai jahan jalva-e-mashuq nahin shauq-e-didar agar hai to nazar paida kar...
Ameer Minai
haTao aaina ummid-var ham bhi hain tumhaare dekhne valon mein yaar ham bhi hain...
Ameer Minai
vo dushmani se dekhte hain dekhte to hain main shaad hun ki hun to kisi ki nigah mein...
Khwaja Meer Dard
dard ke milne se ai yaar bura kyun maana us ko kuchh aur siva diid ke manzur na tha...
Zafar Iqbal
ab vahi karne lage didar se aage ki baat jo kabhi kahte the bas didar hona chahiye...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan