DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Devotion

Poetry Collection

Ash'aar

Josh Malihabadi
bigaD kar banae ja ubhar kar miTae ja ki main tira charagh hun jalae ja bujhae ja...
Meer Anees
khaak se hai khaak ko ulfat taDapta hun anis karbala ke vaste main karbala mere liye...
Jigar Moradabadi
dil hai qadmon par kisi ke sar jhuka ho ya na ho bandagi to apni fitrat hai khuda ho ya na ho...
Hasrat Mohani
hasrat ki bhi qubul ho mathura mein haziri sunte hain aashiqon pe tumhaara karam hai aaj...
Ibn-e-Insha
ham kisi dar pe na thiTke na kahin dastak di saikDon dar the miri jaan tire dar se pahle...
Bahadur Shah Zafar
khaksari ke liye garche banaya tha mujhe kaash khaak-e-dar-e-janana banaya hota...
Mohammad Rafi Sauda
badshahat do jahan ki bhi jo hove mujh ko tere kuche ki gadai se na kho de mujh ko...
Shaikh Ibrahim Zauq
ham nahin vo jo karen khuun ka daava tujh par balki puchhega khuda bhi to mukar jaaenge...
Hafeez Jalandhari
dekha na karobar-e-mohabbat kabhi 'hafiz' fursat ka vaqt hi na diya karobar ne...
Sudarshan Faakir
Aashiqi ho ki bandagi 'faakhir' Be-dili se to ibtida na karo...
Nadim Nadeem
Din-dar log rab ko manane mein mast hain Darvesh apne nachne gaane mein mast hain...
Abdul Hamid Adam
mere hone mein mira apna nahin tha kuchh shareek meri hasti sirf tere etina ki baat thi...
Ahmad Nadeem Qasmi
tu ne yun dekha hai jaise kabhi dekha hi na tha main to dil mein tire qadmon ke nishan tak dekhoon...
Ahmad Nadeem Qasmi
mujh se kafir ko tire ishq ne yun sharmaya dil tujhe dekh ke dhadka to khuda yaad aaya...
Khalilur Rahman Azmi
hoti nahin hai yunhi ada ye namaz-e-ishq yaan shart hai ki apne lahu se wazu karo...
Khumar Barabankavi
mujhe to un ki ibadat pe rahm aata hai jabeen ke saath jo sajde mein dil jhuka na sake...
Saleem Kausar
aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir ham tire waste tayyar hua karte the...
Saleem Kausar
jo miri riyazat-e-neem-shab ko 'saleem' subh na mil saki to phir is ke maani to ye hue ki yahan khuda koi aur hai...
Saleem Kausar
qadmon mein saaye ki tarah raunde gaye hain ham ham se ziyada tera talabgar kaun hai...
Shad Azimabadi
tira aastan jo na mil saka tiri rahguzar ki zameen sahi hamein sajda karne se kaam hai jo wahan nahin to kahin sahi...
Yagana Changezi
buton ko dekh ke sab ne khuda ko pahchana khuda ke ghar to koi banda-e-khuda na gaya...
Nazeer Akbarabadi
husn ke naaz uthane ke siwa ham se aur husn-e-amal kya hoga...
Explore more on Diwan E Sukhan