DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Easy
Poetry Collection
Ash'aar
Irfan Siddiqi
kuchh ishq ke nisab mein kamzor ham bhi hain kuchh parcha-e-sawal bhi aasan chahiye...
Mohammad Alvi
kitna mushkil hai zindagi karna aur na socho to kitna aasan hai...
Rajinder Manchanda Bani
raah aasan dekh kar sab khush the phir main ne kaha soch leeje ek andaz-e-nazar mera bhi hai...
Saleem Kausar
judai bhi na hoti zindagi bhi sahl ho jaati jo ham ik doosre se masala tabdeel kar lete...
Shariq Kaifi
kaun tha wo jis ne ye haal kiya hai mera kis ko itni aasani se haasil tha main...
Shariq Kaifi
sab aasan hua jaata hai mushkil waqt to ab aaya hai...
Shariq Kaifi
jin par main thoda sa bhi aasan hua hoon wahi bata sakte hain kitna mushkil tha main...
Shariq Kaifi
tiri tarah nahin aasan wapsi meri main raston ko samajhta hua nahin aaya...
Yagana Changezi
sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahl hai apne bas ka kaam kar leta hoon aasan dekh kar...
Nazeer Akbarabadi
thaharna ishq ke aafat ke sadmon mein 'nazeer' kaam mushkil tha par allah ne aasan kiya...
Nazeer Akbarabadi
ajab mushkil hai kya kahiye baghair-az-jaan dene ke koi naqsha nazar aata nahin aasan milne ka...
Explore more on Diwan E Sukhan