DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Existence

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
na tha kuchh to khuda tha kuchh na hota to khuda hota duboya mujh ko hone ne na hota main to kya hota...
Mirza Ghalib
jab ki tujh bin nahin koi maujud phir ye hangama ai khuda kya hai...
Amjad Islam Amjad
kun-fakan ke bhed se maula mujhe aagah kar kaun hun main gar yahan par dusra koi nahin...
Tehzeeb Hafi
Aasmaan aur zameen ki wusat dekh Main idhar bhi hoon aur udhar bhi hoon...
Nadim Nadeem
Kaise kaise log wujud ki zad mein aa kar mar gaye Is dariya ki bhent chadhe kaise kaise tairak...
Nadim Nadeem
Khamoshi kheench ke laayi mujhe wujud talak Wujud kheench ke laaya hai mujh ko la ki taraf...
Abdul Hamid Adam
mere hone mein mira apna nahin tha kuchh shareek meri hasti sirf tere etina ki baat thi...
Irfan Siddiqi
jo kuchh hua wo kaise hua jaanta hoon main jo kuchh nahin hua wo bata kyun nahin hua...
Khalilur Rahman Azmi
ye tamanna nahin ab daad-e-hunar de koi aa ke mujh ko mire hone ki khabar de koi...
Khalilur Rahman Azmi
azal se tha wo hamare wajood ka hissa wo ek shakhs ki jo ham pe mehrban hua...
Mohammad Alvi
mire hone ne mujh ko maar daala nahin tha to bahut mahfooz tha main...
Shad Azimabadi
suni hikayat-e-hasti to darmiyan se suni na ibtida ki khabar hai na intiha maaloom...
Yagana Changezi
parda-e-hijr wahi hasti-e-mauhoom thi 'yaas' sach hai pahle nahin maaloom tha ye raaz mujhe...
Yagana Changezi
kar-gah-e-duniya ki nesti bhi hasti hai ik taraf ujadti hai ek samt basti hai...
Nazeer Akbarabadi
hastiyan neestiyan yaan bhi hain aisi jaise wo kamar aur wo dahan kuchh nahin aur sab kuchh hai...
Ismail Merathi
tu hi zahir hai tu hi baatin hai tu hi tu hai to main kahan tak hoon...
Ismail Merathi
hai is anjuman mein yaksan adam o wajood mera ki jo main yahan na hota yahi karobar hota...
Ismail Merathi
tu na ho ye to ho nahin sakta mera kya tha hua hua na hua...
Aziz Bano Darab Wafa
apni hasti ka kuchh ehsas to ho jaye mujhe aur nahin kuchh to koi maar hi daale mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan