DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Expression

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Nadeem Qasmi
main tere kahe se chup hoon lekin chup bhi to bayan-e-muddaa hai...
Khalilur Rahman Azmi
duniya bhar ki ram-kahani kis kis dhang se kah daali apni kahne jab baithe to ek ek lafz pighalta tha...
Rajinder Manchanda Bani
chalo ki jazba-e-izhaar cheekh mein to dhala kisi tarah ise aakhir ada bhi hona tha...
Saleem Kausar
aur is se pahle ki saabit ho jurm-e-khamoshi ham apni raye ka izhaar karna chahte hain...
Saqi Faruqi
mere andar use khone ki tamanna kyun hai jis ke milne se miri zaat ko izhaar mile...
Shad Azimabadi
izhaar-e-muddaa ka irada tha aaj kuchh tevar tumhare dekh ke khamosh ho gaya...
Shad Azimabadi
bhare hon aankh mein aansoo khamida gardan ho to khamoshi ko bhi izhaar-e-muddaa kahiye...
Ismail Merathi
izhaar-e-haal ka bhi zariya nahin raha dil itna jal gaya hai ki aankhon mein nam nahin...
Aziz Bano Darab Wafa
main kis zaban mein us ko kahan talash karun jo meri goonj ka lafzon se tarjuma kar de...
Explore more on Diwan E Sukhan