DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Farhad
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
teshe baghair mar na saka kohkan asad sargashta-e-khumar-e-rusum-o-quyud tha...
Faiz Ahmad Faiz
ham sahal-talab kaun se farhad the lekin ab shahr mein tere koi ham sa bhi kahan hai...
Jaun Elia
be-sutun ik navahi mein hai shahr-e-dil ki tesha inam karen aur koi farhad rakhen...
Rahat Indori
main parbaton se laDta raha aur chand log giili zamin khod ke farhad ho gae...
Ibn-e-Insha
sun to liya kisi naar ki khatir kaaTa koh nikali nahr ek zara se qisse ko ab dete kyun ho tuul miyan...
Altaf Hussain Hali
qais ho kohkan ho ya hali aashiqi kuchh kisi ki zaat nahin...
Bahadur Shah Zafar
na kohkan hai na majnun ki the mire hamdard main apna dard-e-mohabbat kahun to kis se kahun...
Mohammad Rafi Sauda
kaam aai kohkan ki mashaqqat na ishq mein patthar se ju-e-shiir ke laane ne kya kiya...
Nazeer Akbarabadi
abas mehnat hai kuchh haasil nahin patthar-tarashi se yahi mazmoon tha farhad ke teshe ki khat-khat ka...
Nazeer Akbarabadi
teshe ki kya majal thi ye jo tarashe be-sutoon tha wo tamam dil ka zor jis ne pahad dhaa diya...
Ismail Merathi
kya kohkan ki koh-kani kya junoon-e-qais vadi-e-ishq mein ye maqam ibtida ke hain...
Explore more on Diwan E Sukhan