DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Fear
Poetry Collection
Ash'aar
Amjad Islam Amjad
faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya mujhe talash na karti hon ye balaen kahin...
Amjad Islam Amjad
saae larazte rahte hain shahron ki galiyon mein rahte the insan jahan ab dahshat rahti hai...
Amjad Islam Amjad
larzish nigah mein lahje mein luknat ajiib thi us avvalin visal ki vahshat ajiib thi...
Tehzeeb Hafi
Tum lautne mein der na karna ki ye na ho Dil teergi mein ghir chuke aur diya jale...
Ali Zaryoun
Dare huon ne tumhein bhi Dara diya varna khuda to pyaar sikhata hai kuchh nahin kahta...
Abdul Hamid Adam
main bad-naseeb hoon mujh ko na de khushi itni ki main khushi ko bhi le kar kharab kar doonga...
Abdul Hamid Adam
jee chahta hai aaj adam un ko chhediye dar dar ke pyaar karne mein koi maza nahin...
Adil Mansuri
aaise dare hue hain zamane ki chaal se ghar mein bhi paanv rakhte hain ham to sambhal kar...
Ahmad Mushtaq
are kyun dar rahe ho jangal se ye koi aadmi ki basti hai...
Khalilur Rahman Azmi
kyun har ghadi zaban pe ho jurm-o-saza ka zikr kyun har amal ki fikr mein khauf-e-khuda ki shart...
Khumar Barabankavi
ishq mein sahme hue do aashna muddaton anjaan nazar aaye hain...
Mohammad Alvi
main khud ko marte hue dekh kar bahut khush hoon ye dar bhi hai ki miri aankh khul na jaye kahin...
Mohammad Alvi
donon ke dil mein khauf tha maidan-e-jang mein donon ka khauf faasla tha darmiyan ka...
Mohammad Alvi
aisa hangama na tha jangal mein shahr mein aaye to dar lagta tha...
Mohammad Alvi
marne ke dar se aur kahan tak jiyega tu jeene ke din tamam hue intiqal kar...
Mohammad Alvi
bus ke neeche koi nahin aata phir bhi bus mein baith ke behad ghabrata hoon main...
Rajinder Manchanda Bani
bain karti hui samton se na darna bani aisi aawazein to is raah mein aam aayengi...
Saqi Faruqi
mujh mein saat samundar shor machate hain ek khayal ne dahshat phaila rakhi hai...
Saqi Faruqi
main un se bhi mila karta hoon jin se dil nahin milta magar khud se bichhad jaane ka andesha bhi rahta hai...
Shakeb Jalali
pyaar ki jot se ghar ghar hai charaghan warna ek bhi shama na raushan ho hawa ke dar se...
Shariq Kaifi
ab mujhe kaun jeet sakta hai tu mire dil ka aakhiri dar tha...
Shariq Kaifi
bahut himmat ka hai ye kaam 'shariq' ki sharmate nahin darte hue ham...
Shariq Kaifi
nahin main hausla to kar raha tha zara tere sukoon se dar raha tha...
Yagana Changezi
jaise dozakh ki hawa kha ke abhi aaya ho kis qadar waiz-e-makkar darata hai mujhe...
Yagana Changezi
umeed-o-beem ne maara mujhe dorahe par kahan ke dair-o-haram ghar ka rasta na mila...
Nazeer Akbarabadi
ishq ka door kare dil se jo dhadka taaviz is dhadake ka koi ham ne na dekha taaviz...
Ismail Merathi
andesha hai ki de na idhar ki udhar laga mujh ko to na-pasand vatire saba ke hain...
Aziz Bano Darab Wafa
umr bhar raaste ghere rahe us shakhs ka ghar umr bhar khauf ke maare na wo baahar nikla...
Ghazalein
Sans Lete Hue Bhi Darta Hun
(Akbar Allahabadi)
Explore more on Diwan E Sukhan