DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Friends
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh koi chaara-saz hota koi gham-gusar hota...
Jaun Elia
roya hun to apne doston mein par tujh se to hans ke hi mila hun...
Muneer Niyazi
aankhon mein uD rahi hai luTi mahfilon ki dhuul ibrat-sara-e-dahr hai aur ham hain dosto...
Zeeshan Sahir
Doston ke roop mein aasteen ke saanp bahut hain Main kis kis se bachun yahan toh apne hi dushman bahut hain...
Ishrat Afreen
Ya mujhe teri hatheli buujhe Ya koi shokh saheli buujhe...
Abdul Hamid Adam
dil abhi poori tarah toota nahin doston ki mehrbani chahiye...
Abdul Hamid Adam
zindagi ke udaas lamhon mein bewafa dost yaad aate hain...
Abdul Hamid Adam
chali hai jab bhi duniya ke mazalim ki shikayat se to aksar iltifat-e-dostan tak baat pahunchi hai...
Ahmad Mushtaq
yaar sab jama hue raat ki khamoshi mein koi ro kar to koi baal bana kar aaya...
Khumar Barabankavi
yaad karne pe bhi dost aaye na yaad doston ke karam yaad aate rahe...
Mohammad Alvi
ye kahan doston mein aa baithe ham to marne ko ghar se nikle the...
Saleem Kausar
tujhe dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin tiri dastan koi aur thi mira waqia koi aur hai...
Shakeb Jalali
waqt ne ye kaha hai ruk ruk kar aaj ke dost kal ke begane...
Shariq Kaifi
jo sun ke peeth thapakte wo yaar khwab hue gunah sirf chhupane ke rah gaye mere...
Nazeer Akbarabadi
dosto kya kya diwali mein nashat-o-aish hai sab muhayya hai jo is hangam ke shayan hai shai...
Ismail Merathi
ya wafa hi na thi zamane mein ya magar doston ne ki hi nahin...
Ismail Merathi
aghyar kyun dakhil hain bazm-e-suroor mein maana ki yaar kam hain par itne to kam nahin...
Ismail Merathi
yaran-e-bazm-dahr mein kya kya tapak tha lekin jab uth gaye to na baar-e-digar mile...
Explore more on Diwan E Sukhan