DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Friendship
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
agar tumhari ana hi ka hai saval to phir chalo main haath baDhata hun dosti ke liye...
Bashir Badr
na udaas ho na malal kar kisi baat ka na khayal kar kai saal baad mile hain ham tere naam aaj ki shaam hai...
Rahat Indori
charaghon ka gharana chal raha hai hava se dostana chal raha hai...
Munawwar Rana
hamari dosti se dushmani sharmai rahti hai ham akbar hain hamare dil mein jodha-bai rahti hai...
Waseem Barelvi
sharten lagai jaati nahin dosti ke saath kiije mujhe qubul miri har kami ke saath...
Zafar Iqbal
lagi thi jaan ki baazi bisat ulaT Daali ye khel bhi hamein yaaron ne haarne na diya...
Ali Zaryoun
main paanv dho ke piyun yaar ban ke jo aae munafiqon ko to main munh lagane vaala nahin...
Ishrat Afreen
Kachchi umron mein bhi akeli rahi Main sada apni hi saheli rahi...
Sudarshan Faakir
Ye sikhaya hai dosti ne hamein Dost ban kar kabhi wafa na karo...
Nadim Nadeem
Ai mire dost mire saath tiri yaadon ki Ret itni hai hua jaata hai sahra chehra...
Khumar Barabankavi
dushmanon se pyaar hota jayega doston ko aazmate jaiye...
Khumar Barabankavi
hataye the jo raah se doston ki wo patthar mire ghar mein aane lage hain...
Khumar Barabankavi
dushmanon se pasheman hona pada hai doston ka khuloos aazmane ke baad...
Rajinder Manchanda Bani
ai dost main khamosh kisi dar se nahin tha qail hi tiri baat ka andar se nahin tha...
Saleem Kausar
dast-e-dua ko kasa-e-sail samajhte ho tum dost ho to kyun nahin mushkil samajhte ho...
Nazeer Akbarabadi
koi to pagdi badalta hai auron se lekin miyan 'nazeer' ham ab tum se tan badalte hain...
Ismail Merathi
dosti aur kisi gharaz ke liye wo tijarat hai dosti hi nahin...
Ismail Merathi
kya ab bhi mujh pe farz nahin dosti-e-kufr wo zid se meri dushman-e-islam ho gaya...
Explore more on Diwan E Sukhan