DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Garden

Poetry Collection

Ash'aar

Meer Taqi Meer
patta patta buTa buTa haal hamara jaane hai jaane na jaane gul hi na jaane bagh to saara jaane hai...
Amjad Islam Amjad
likha tha ek takhti par koi bhi phuul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi so jab vo baagh se guzri koi ukhDa koi TuuTa khizan ke aakhiri din the...
Mohammad Rafi Sauda
gul phenke hai auron ki taraf balki samar bhi ai khana-bar-andaz-e-chaman kuchh to idhar bhi...
Saghar Siddiqui
jo chaman ki hayaat ko das le us kali ko babool kahta hoon...
Shad Azimabadi
chaman mein ja ke ham ne ghaur se auraq-e-gul dekhe tumhare husn ki sharhein likhi hain in risalon mein...
Shakeb Jalali
yun to saara chaman hamara hai phool jitne bhi hain paraye hain...
Yagana Changezi
duniya se 'yaas' jaane ko jee chahta nahin allah re husn gulshan-e-na-paedar ka...
Nazeer Akbarabadi
bagh mein lagta nahin sahra se ghabrata hai dil ab kahan le ja ke baithein aise deewane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
badan gul chehra gul rukhsar gul lab gul dahan hai gul sarapa ab to wo rashk-e-chaman hai dher phoolon ka...
Nazeer Akbarabadi
kooche mein us ke baithna husn ko us ke dekhna ham to usi ko samjhe hain baagh bhi aur bahaar bhi...
Nazeer Akbarabadi
dekh le is chaman-e-dahr ko dil bhar ke 'nazeer' phir tira kaahe ko is baagh mein aana hoga...
Nazeer Akbarabadi
tu hai wo gul ai jaan ki tire baagh mein hai shauq jibreel ko bulbul ki tarah nara-zani ka...
Aziz Bano Darab Wafa
chaman pe bas na chala warna ye chaman wale hawayen bechte neelam rang-o-boo karte...
Explore more on Diwan E Sukhan