DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Heartbeat
Poetry Collection
Ash'aar
Akbar Allahabadi
mohabbat ka tum se asar kya kahun nazar mil gai dil dhaDakne laga...
Jigar Moradabadi
dhaDakne laga dil nazar jhuk gai kabhi un se jab samna ho gaya...
Nasir Kazmi
dil dhaDakne ka sabab yaad aaya vo tiri yaad thi ab yaad aaya...
Noshi Gilani
ye sardiyon ka udaas mausam ki dhaDkanen barf ho gai hain jab un ki yakh-bastagi parakhna tamazaten bhi shumar karna...
Muneer Niyazi
muddat ke baad aaj use dekh kar muneer ik baar dil to dhaDka magar phir sambhal gaya...
Meena Kumari Naaz
Tere qadmon ki aahat ko ye dil hai dhoondta har dam Har ik aawaz par ik thartharahat hoti jaati hai...
Abdul Hamid Adam
aur to dil ko nahin hai koi takleef adam haan zara nabz kisi waqt thahar jaati hai...
Adil Mansuri
khidki ne aankhein kholi darwaze ka dil dhadka...
Saqi Faruqi
namon ka ik hujum sahi mere aas-paas dil sun ke ek naam dhadakta zaroor hai...
Saqi Faruqi
dil hi ayyar hai be-wajh dhadak uthta hai warna afsurda hawaon mein bulawa kaisa...
Explore more on Diwan E Sukhan