DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Irony

Poetry Collection

Ash'aar

Jaun Elia
vo jo the shahr-e-tahayyur tire pur-fan meamar vahi pur-fan tujhe Dhane ke liye nikle hain...
Shakeel Badayuni
vo hava de rahe hain daaman ki haae kis vaqt niind aai hai...
Nasir Kazmi
tujh bin saari umr guzari log kahenge tu mera tha...
Ameer Minai
vaae qismat vo bhi kahte hain bura ham bure sab se hue jin ke liye...
Shahryar
bahut shor tha jab samaat gai bahut bhiiD thi jab akele hue...
Kaleem Aajiz
mai-kade ki taraf chala zahid subh ka bhuula shaam ghar aaya...
Iftikhar Arif
mire saare harf tamam harf azaab the mire kam-sukhan ne sukhan kiya to khabar hui...
Zafar Iqbal
jhuuT bola hai to qaa.em bhi raho us par 'zafar' aadmi ko sahab-e-kirdar hona chahiye...
Zafar Iqbal
vahan maqam to rone ka tha magar ai dost tire firaq mein ham ko hansi bahut aai...
Zafar Iqbal
vo mujh se apna pata puchhne ko aa nikle ki jin se main ne khud apna suragh paaya tha...
Dushyant Kumar
barsaat aa gai to darakne lagi zamin suukha macha rahi hai ye barish to dekhiye...
Hafeez Jalandhari
khuda ko na taklif de Duubne mein kisi nakhuda ke sahaare chala chal...
Khumar Barabankavi
ilahi mire dost hon khairiyat se ye kyun ghar mein patthar nahin aa rahe hain...
Mohammad Alvi
us se bichhadte waqt main roya tha khoob-sa ye baat yaad aayi to pahron hansa kiya...
Mohammad Alvi
dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha khush the tamam nekiyan dariya mein daal kar...
Mohammad Alvi
bichhadte waqt aisa bhi hua hai kisi ki siskiyan achchhi lagi hain...
Mohammad Alvi
ladki achchhi hai 'alvi' naam us ka mar jaana hai...
Mohammad Alvi
ye kahan doston mein aa baithe ham to marne ko ghar se nikle the...
Mohammad Alvi
tira na milna ajab gul khila gaya ab ke tire hi jaisa koi doosra mila mujh ko...
Mohammad Alvi
shanti ki dukanen kholi hain fakhtayen kahan ki bholi hain...
Saleem Kausar
ham ne to khud se intiqam liya tum ne kya soch kar mohabbat ki...
Saleem Kausar
pukarte hain unhein sahilon ke sannate jo log doob gaye kashtiyan banate hue...
Saghar Siddiqui
ye kinaron se khelne wale doob jaayen to kya tamasha ho...
Saqi Faruqi
qatl karne ka irada hai magar sochta hoon tu agar aaye to hathon mein jhijhak paida ho...
Saqi Faruqi
ye kaisi baat hui hai ki dekh kar khush hai wo aansuon ke samundar ke darmiyan mujhe...
Shakeb Jalali
aa ke patthar to mire sehn mein do-chaar gire jitne us ped ke phal the pas-e-deewar gire...
Shakeb Jalali
log dushman hue usi ke 'shakeb' kaam jis mehrban se nikla...
Shariq Kaifi
saari duniya se lade jis ke liye ek din us se bhi jhagda kar liya...
Shariq Kaifi
faasla rakh ke bhi kya haasil hua aaj bhi us ka hi kahlata hoon main...
Shariq Kaifi
wo basti na-khudaon ki thi lekin mile kuchh doobne wale wahan bhi...
Shariq Kaifi
khud hi tamasha karte karte mahv-e-tamasha ho jaata hoon...
Nazeer Akbarabadi
tha irada tiri fariyaad karein hakim se wo bhi ai shokh tira chahne wala nikla...
Nazeer Akbarabadi
kal bosa-e-pa ham ne liya tha so na aaya shayad ki wo bosa hi hua aabla-e-pa...
Ismail Merathi
ba-in-hama darmandagi insan ke ye daave kya zaat-e-sharif in ko banaya hai khuda ne...
Aziz Bano Darab Wafa
ham aise soorma hain lad ke jab halaat se palte to badh ke zindagi ne pesh kiin baisakhiyan ham ko...
Aziz Bano Darab Wafa
main jab bhi us ki udaasi se uub jaungi to yun hansega ki mujh ko udaas kar dega...
Aziz Bano Darab Wafa
ham ne saara jeevan baanti pyaar ki daulat logon mein ham hi saara jeevan tarse pyaar ki payi payi ko...
Aziz Bano Darab Wafa
tishnagi meri musallam hai magar jaane kyun log de dete hain toote hue pyaale mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan