DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Loss
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
tu khuda hai na mira ishq farishton jaisa donon insan hain to kyun itne hijabon mein milen...
Parveen Shakir
haarne mein ik ana ki baat thi jiit jaane mein khasara aur hai...
Tehzeeb Hafi
Kuchh zarurat se kam kiya gaya hai Tere jaane ka gham kiya gaya hai...
Mohsin Sahil
Jise jaan se badh kar chaha tha maine Aaj wohi mujhe jaan se maarne pe tula hai...
Shakeel Azmi
Tumhari maut ne maara hai jeete-jee ham ko Hamari jaan bhi goya tumhari jaan mein thi...
Nadim Nadeem
Main jis dariya mein kanta dalta tha Suna hai ab wahan machhli nahin hai...
Abdul Hamid Adam
haath se kho na baithna us ko itni khuddariyan nahin achchhi...
Ahmad Mushtaq
khoya hai kuchh zaroor jo us ki talash mein har cheez ko idhar se udhar kar rahe hain ham...
Irfan Siddiqi
aakhir-e-shab hui aaghaz kahani apni ham ne paaya bhi to ik umr ganwa kar us ko...
Irfan Siddiqi
mujhe ye zindagi nuqsan ka sauda nahin lagti main aane wali duniya ko bhi takhmine mein rakhta hoon...
Irfan Siddiqi
tujh ko supurdagi mein simatna bhi hai zaroor sachcha hai karobar to nuqsan chahiye...
Khalilur Rahman Azmi
yahin par dafn kar do is gali se ab kahan jaun ki mere paas jo kuchh tha yahin aa kar lutaya hai...
Khumar Barabankavi
chaar din ka hi saath tha lekin zindagi ai 'khumar' le doobi...
Khumar Barabankavi
ishq ke karobar ko aksar garmi-e-karobar le doobi...
Mohammad Alvi
chhod gaya mujh ko 'alvi' shayad wo jaldi mein tha...
Saleem Kausar
saans lene se bhi bharta nahin seene ka khala jaane kya shai hai jo be-dakhl hui hai mujh mein...
Saqi Faruqi
ek ek kar ke log bichhadte chale gaye ye kya hua ki waqfa-e-matam nahin mila...
Saqi Faruqi
mere andar use khone ki tamanna kyun hai jis ke milne se miri zaat ko izhaar mile...
Shad Azimabadi
jab kisi ne haal poochha ro diya chashm-e-tar tu ne to mujh ko kho diya...
Ismail Merathi
yaran-e-bazm-dahr mein kya kya tapak tha lekin jab uth gaye to na baar-e-digar mile...
Aziz Bano Darab Wafa
ahmiyat ka mujhe apni bhi to andaza hai tum gaye waqt ki manind ganwa do mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan