DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Loyalty

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
ham ko un se vafa ki hai ummid jo nahin jaante vafa kya hai...
Ahmad Faraz
dhunD ujDe hue logon mein vafa ke moti ye khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milen...
Jaun Elia
mire harif miri yakka-taziyon pe nisar tamam umr halifon se jang ki main ne...
Parveen Shakir
vo kahin bhi gaya lauTa to mire paas aaya bas yahi baat hai achchhi mire harjai ki...
Momin Khan Momin
main bhi kuchh khush nahin vafa kar ke tum ne achchha kiya nibah na ki...
Akbar Allahabadi
dila de ham ko bhi sahab se loyalty ka parvana qayamat tak rahe sayyad tire honour ka afsana...
Qateel Shifai
vo mera dost hai saare jahan ko hai maalum dagha kare vo kisi se to sharm aae mujhe...
Shakeel Badayuni
mujhe dost kahne vaale zara dosti nibha de ye mutalba hai haq ka koi iltija nahin hai...
Siraj Aurangabadi
ghair taraf kyunki nazar kar sakun khauf hai tujh ishq ke jasus ka...
Bahadur Shah Zafar
tum ne kiya na yaad kabhi bhuul kar hamein ham ne tumhaari yaad mein sab kuchh bhula diya...
Mohammad Rafi Sauda
sauda se shakhs ke taiin aazurda kijiye ai khud-parast haif nahin tu vafa-parast...
Noshi Gilani
jalae rakkhungi subh tak main tumhare raston mein apni aankhen magar kahin zabt TuuT jaae to barishen bhi shumar karna...
Kaleem Aajiz
vo kahte hain har choT par muskurao vafa yaad rakkho sitam bhuul jao...
Kaleem Aajiz
kal kahte rahe hain vahi kal kahte raheinge har daur mein ham un pe ghazal kahte raheinge...
Arzoo Lakhnavi
vafa tum se karenge dukh sahenge naaz uThaenge jise aata hai dil dena use har kaam aata hai...
Tehzeeb Hafi
Sach kahun meri qurbat to khud us ki saanson ka vardaan hai Main jise chhod deta hoon us ko qabeela nahin chhodta...
Athar Aalam
Zamane ne 'Athar' laakh roka mujhe Par dil ke aaine mein wahi ek chehra thehra hai...
Athar Aalam
Main jalta raha charagh sa teri raahon mein Aur teri nigah mein sirf andhera thehra hai...
Ahmad Mushtaq
mujhe maaloom hai ahl-e-wafa par kya guzarti hai samajh kar soch kar tujh se mohabbat kar raha hoon main...
Irfan Siddiqi
kabhi jo zahmat-e-kar-e-rafu nahin karta hamare zakhm usi charagar ke naam tamam...
Khalilur Rahman Azmi
tere na ho sake to kisi ke na ho sake ye karobar-e-shauq mukarrar na ho saka...
Khalilur Rahman Azmi
ye aur baat ki tark-e-wafa pe maayil hain tiri wafa ki hamein aaj bhi zaroorat hai...
Saghar Siddiqui
hashr mein kaun gawahi miri dega 'saghar' sab tumhaare hi taraf-dar nazar aate hain...
Saghar Siddiqui
main ne jin ke liye raahon mein bichhaya tha lahoo ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin...
Saqi Faruqi
main to khuda ke saath wafadar bhi raha ye zaat ka tilism magar tootta nahin...
Saqi Faruqi
tu jaan-e-mohabbat hai magar teri taraf bhi ik khwahish-e-tashheer-e-wafa le gayi ham ko...
Yagana Changezi
kyun kisi se wafa kare koi dil na maane to kya kare koi...
Yagana Changezi
marte dam tak tiri talwar ka dam bharte rahe haq ada ho na saka phir bhi wafadaron se...
Nazeer Akbarabadi
koi to pagdi badalta hai auron se lekin miyan 'nazeer' ham ab tum se tan badalte hain...
Ismail Merathi
ya wafa hi na thi zamane mein ya magar doston ne ki hi nahin...
Explore more on Diwan E Sukhan