DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Maikada
Poetry Collection
Ash'aar
Firaq Gorakhpuri
aae the hanste khelte mai-khane mein firaq jab pi chuke sharab to sanjida ho gae...
Jigar Moradabadi
ye mai-khana hai bazm-e-jam nahin hai yahan koi kisi se kam nahin hai...
Bashir Badr
na tum hosh mein ho na ham hosh mein hain chalo mai-kade mein vahin baat hogi...
Ameer Minai
teri masjid mein vaaiz khaas hain auqat rahmat ke hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai...
Ameer Minai
masjid mein bulate hain hamein zahid-e-na-fahm hota kuchh agar hosh to mai-khane na jaate...
Ali Sardar Jafri
ye mai-kada hai yahan hain gunah jaam-ba-dast vo madrasa hai vo masjid vahan milega savab...
Kaleem Aajiz
mai-kade ki taraf chala zahid subh ka bhuula shaam ghar aaya...
Shaikh Ibrahim Zauq
'zauq' jo madrase ke bigDe hue hain mulla un ko mai-khane mein le aao sanvar jaaenge...
Abdul Hamid Adam
kahte hain umr-e-rafta kabhi lautti nahin jaa mai-kade se meri jawani utha ke laa...
Abdul Hamid Adam
main mai-kade ki raah se ho kar nikal gaya warna safar hayaat ka kaafi taweel tha...
Abdul Hamid Adam
mai-kada hai yahan sukoon se baith koi aafat idhar nahin aati...
Abdul Hamid Adam
kabhi to dair-o-haram se tu aayega wapas main mai-kade mein tera intezar kar loonga...
Khumar Barabankavi
guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad ham kuchh door aadatan bhi qadam dagmagaye hain...
Shad Azimabadi
ye bazm-e-mai hai yaan kotah-dasti mein hai mahroomi jo badh kar khud utha le haath mein meena usi ka hai...
Yagana Changezi
pahunchi yahan bhi shaikh o barhaman ki kashmakash ab mai-kada bhi sair ke qabil nahin raha...
Nazeer Akbarabadi
door se aaye the saqi sun ke mai-khane ko ham bas taraste hi chale afsos paimane ko ham...
Ghazalein
Kab Thahrega Dard Ai Dil Kab Raat Basar Hogi
(Faiz Ahmad Faiz)
Explore more on Diwan E Sukhan