DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Masjid

Poetry Collection

Ash'aar

Meer Taqi Meer
tujh ko masjid hai mujh ko mai-khana vaiza apni apni qismat hai...
Allama Iqbal
masjid to bana di shab bhar mein iman ki hararat valon ne man apna purana paapi hai barson mein namazi ban na saka...
Momin Khan Momin
shab jo masjid mein ja phanse momin raat kaaTi khuda khuda kar ke...
Ameer Minai
teri masjid mein vaaiz khaas hain auqat rahmat ke hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai...
Ali Sardar Jafri
ye mai-kada hai yahan hain gunah jaam-ba-dast vo madrasa hai vo masjid vahan milega savab...
Siraj Aurangabadi
masjid vahshat mein paDhta hai taravih-e-junun mushaf husn-e-pari-rukhsar jis kun yaad hai...
Siraj Aurangabadi
masjid mein tujh bhanvon ki ai qibla-e-dil-o-jaan palken hain muqtadi aur putli imaam goya...
Siraj Aurangabadi
masjid abru mein teri mardumuk hai jiyun imaam mu-e-mizhgan muqtadi ho mil ke karte hain namaz...
Abdul Hamid Adam
dil khush hua hai masjid-e-viran ko dekh kar meri tarah khuda ka bhi khana kharab hai...
Khumar Barabankavi
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumar' kya baat ho gayi jo khuda yaad aa gaya...
Mohammad Alvi
sab namazein baandh kar le jaunga main apne saath aur masjid ke liye goongi azaan rakh jaunga...
Explore more on Diwan E Sukhan