DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Mazhab

Poetry Collection

Ash'aar

Meer Taqi Meer
miir ke din-o-mazhab ko ab puchhte kya ho un ne to qashqa khincha dair mein baiTha kab ka tark islam kiya...
Allama Iqbal
mazhab nahin sikhata aapas mein bair rakhna hindi hain ham vatan hai hindostan hamara...
Sahir Ludhianvi
har ek daur ka mazhab naya khuda laaya karen to ham bhi magar kis khuda ki baat karen...
Firaq Gorakhpuri
mazhab ki kharabi hai na akhlaq ki pasti duniya ke masaib ka sabab aur hi kuchh hai...
Akbar Allahabadi
mazhabi bahs main ne ki hi nahin faltu aql mujh mein thi hi nahin...
Akbar Allahabadi
shaikh apni rag ko kya karen reshe ko kya karen mazhab ke jhagDe chhoDen to peshe ko kya karen...
Akbar Allahabadi
agar mazhab khalal-andaz hai mulki maqasid mein to shaikh o barhaman pinhan rahein dair o masajid mein...
Majrooh Sultanpuri
mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi vahi-e-ilahi hai mazhab to bas mazhab-e-dil hai baaqi sab gumrahi hai...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan