DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Mirror

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
aaina kyun na dun ki tamasha kahen jise aisa kahan se laun ki tujh sa kahen jise...
Jaun Elia
mere tevar bujh gae meri nigahen jal gain ab koi aaina-ru aaina-dar aaya to kya...
Dagh Dehlvi
aaina dekh ke kahte hain sañvarne vaale aaj be-maut marenge mire marne vaale...
Josh Malihabadi
allah re husn-e-dost ki aaina-dariyan ahl-e-nazar ko naqsh-ba-divar kar diya...
Ameer Minai
haTao aaina ummid-var ham bhi hain tumhaare dekhne valon mein yaar ham bhi hain...
Kaleem Aajiz
meri ghazal ko meri jaan faqat ghazal na samajh ik aaina hai jo har dam tire muqabil hai...
Tehzeeb Hafi
Kai din us ke bhi sehraon mein guzre hain hafi So is nisbat se aaina hamara kya lagega...
Ishrat Afreen
Apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai Patthar beech aaina rakhna kitna mushkil hai...
Sudarshan Faakir
Apni soorat lagi parayi si Jab kabhi ham ne aaina dekha...
Adil Mansuri
yaadon ne use tod diya maar ke patthar aaine ki khandaq mein jo parchhain padi thi...
Irfan Siddiqi
ham sab aaina-dar-aaina-dar-aaina hain kya khabar kaun kahan kis ki taraf dekhta hai...
Khalilur Rahman Azmi
zara aa ke samne baith ja miri chashm-e-tar ke qareeb aa mire aaine mein bhi dekh le kabhi apni zulf ki barhami...
Khumar Barabankavi
doosron par agar tabsira kijiye saamne aaina rakh liya kijiye...
Mohammad Alvi
bahut khush hue aaina dekh kar yahan koi saani hamara na tha...
Mohammad Alvi
dil ka aaina hua jaata hai dhundla dhundla kab tira aks ise apni safai dega...
Saleem Kausar
main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai sar-e-aaina mira aks hai pas-e-aaina koi aur hai...
Saleem Kausar
aaina khud bhi sanwarta tha hamari khatir ham tire waste tayyar hua karte the...
Saghar Siddiqui
taqdeer ke chehre ki shikan dekh raha hoon aaina-e-halaat hai duniya teri kya hai...
Shakeb Jalali
koi bhoola hua chehra nazar aaye shayad aaina ghaur se tu ne kabhi dekha hi nahin...
Yagana Changezi
imtiyaz-e-soorat-o-maani se begana hua aaine ko aaina hairan ko hairan dekh kar...
Nazeer Akbarabadi
ranj-e-dil yun gaya rukh us ka dekh jaise uth jaaye aaine se zang...
Aziz Bano Darab Wafa
aaina-khane mein khinche liye jaata hai mujhe kaun meri hi adalat mein bulata hai mujhe...
Explore more on Diwan E Sukhan