DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Mystery
Poetry Collection
Ash'aar
Amjad Islam Amjad
na us ka ant hai koi na istiara hai ye dastan hai hijr-o-visal se baahar...
Mohammad Rafi Sauda
sauda jo tira haal hai itna to nahin vo kya jaaniye tu ne use kis aan mein dekha...
Ishrat Afreen
Ya mujhe teri hatheli buujhe Ya koi shokh saheli buujhe...
Naseer Turabi
Tujhe kya khabar mire be-khabar mira silsila koi aur hai Jo mujhi ko mujh se baham kare vo gurez-pa koi aur hai...
Adil Mansuri
wo kaun tha jo din ke ujale mein kho gaya ye chaand kis ko dhoondne nikla hai shaam se...
Adil Mansuri
dariya ke kinare pe miri laash padi thi aur paani ki tah mein wo mujhe dhoond raha tha...
Adil Mansuri
tu kis ke kamre mein thi main tere kamre mein tha...
Ahmad Mushtaq
paani mein aks aur kisi aasman ka hai ye naav kaun si hai ye dariya kahan ka hai...
Ahmad Nadeem Qasmi
khud ko to 'nadeem' aazmaya ab mar ke khuda ko aazmaun...
Irfan Siddiqi
ye ham ne bhi suna hai aalam-e-asbab hai duniya yahan phir bhi bahut kuchh be-sabab hota hi rahta hai...
Rajinder Manchanda Bani
jaane wo kaun tha aur kis ko sada deta tha us se bichhda hai koi itna pata deta tha...
Rajinder Manchanda Bani
mire waste jaane kya layegi gayi hai hawa ik khandar ki taraf...
Saleem Kausar
main khayal hoon kisi aur ka mujhe sochta koi aur hai sar-e-aaina mira aks hai pas-e-aaina koi aur hai...
Saqi Faruqi
ye kya tilism hai kyun raat bhar sisakta hoon wo kaun hai jo diyon mein jala raha hai mujhe...
Shad Azimabadi
ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula ham mein hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain ham...
Explore more on Diwan E Sukhan