DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Restless heart
Poetry Collection
Ash'aar
Jaun Elia
sabit hua sukun-e-dil-o-jaan kahin nahin rishton mein dhunDta hai to dhunDa kare koi...
Firaq Gorakhpuri
tujh ko pa kar bhi na kam ho saki be-tabi-e-dil itna aasan tire ishq ka gham tha hi nahin...
Ibn-e-Insha
insha-ji uTho ab kuuch karo is shahr mein ji ko lagana kya vahshi ko sukun se kya matlab jogi ka nagar mein Thikana kya...
Bahadur Shah Zafar
le gaya chhin ke kaun aaj tira sabr o qarar be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi...
Mohammad Rafi Sauda
na kar sauda tu shikva ham se dil ki be-qarari ka mohabbat kis ko deti hai miyan aaraam duniya mein...
Mohammad Rafi Sauda
mauj-e-nasim aaj hai aaluuda gard se dil khaak ho gaya hai kisi be-qarari ka...
Jawad Sheikh
Nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne wala Dil mein ye shor barabar nahin rahne wala...
Explore more on Diwan E Sukhan