DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Restless

Poetry Collection

Ash'aar

Momin Khan Momin
ho gae naam-e-butan sunte hi momin be-qarar ham na kahte the ki hazrat parsa kahne ko hain...
Dagh Dehlvi
ye maza tha dil-lagi ka ki barabar aag lagti na tujhe qarar hota na mujhe qarar hota...
Kaifi Azmi
itna to zindagi mein kisi ke khalal paDe hansne se ho sukun na rone se kal paDe...
Shakeel Badayuni
hamein jin ki diid ki aas thi vo mile to raah mein yun mile main nazar uTha ke taDap gaya vo nazar uTha ke guzar gae...
Ibn-e-Insha
bekal bekal rahte ho par mahfil ke aadab ke saath aankh chura kar dekh bhi lete bhole bhi ban jaate ho...
Meena Kumari Naaz
Kaanch ke tukde chune magar Tujh sa wo be-kal kya ho...
Jawad Sheikh
Ab mira dhyan kahin aur chala jaata hai Ab koi film mukammal nahin dekhi jaati...
Ahmad Mushtaq
khoya hai kuchh zaroor jo us ki talash mein har cheez ko idhar se udhar kar rahe hain ham...
Saghar Siddiqui
ai dil-e-be-qarar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja...
Shad Azimabadi
ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula ham mein hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain ham...
Yagana Changezi
sabr karna sakht mushkil hai tadapna sahl hai apne bas ka kaam kar leta hoon aasan dekh kar...
Nazeer Akbarabadi
dil ki betabi nahin thaharne deti hai mujhe din kahin raat kahin subh kahin shaam kahin...
Nazeer Akbarabadi
bagh mein lagta nahin sahra se ghabrata hai dil ab kahan le ja ke baithein aise deewane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
dil ki be-tabi thaharne nahin deti mujh ko din kahin raat kahin subh kahin shaam kahin...
Nazeer Akbarabadi
khafa dekha hai us ko khwab mein dil sakht muztar hai khila de dekhiye kya kya gul-e-tabeer-e-khwab apna...
Nazeer Akbarabadi
dil ki betabi thaharne nahin deti hai mujhe din kahin raat kahin subh kahin shaam kahin...
Nazeer Akbarabadi
kahin baithne de dil ab mujhe jo hawas tuk main baja karun nahin taab mujh mein ki jab talak tu phire to main bhi phira karun...
Explore more on Diwan E Sukhan