Roses

Poetry Collection

نہ مرے زخم کھلے ہیں نہ ترا رنگ حنا
موسم آئے ہی نہیں اب کے گلابوں والے
न मिरे ज़ख़्म खिले हैं न तिरा रंग-ए-हिना
मौसम आए ही नहीं अब के गुलाबों वाले
na mire zakhm khile hain na tira rang-e-hina
mausam aae hi nahin ab ke gulabon vaale
وہ زخم چن کے مرے خار مجھ میں چھوڑ گیا
کہ اس کو شوق تھا بے انتہا گلابوں کا
वो ज़ख़्म चुन के मिरे ख़ार मुझ में छोड़ गया
कि उस को शौक़ था बे-इंतिहा गुलाबों का
Vo zakhm chun ke mire khaar mujh mein chhod gaya
Ki us ko shauq tha be-intiha gulabon ka
میرے ہونٹوں پہ خاموشی ہے بہت
ان گلابوں پہ تتلیاں رکھ دے
मेरे होंठों पे ख़ामुशी है बहुत
इन गुलाबों पे तितलियाँ रख दे
Mere honton pe khamoshi hai bahut
In gulabon pe titliyan rakh de
پھولوں کی سیج پر ذرا آرام کیا کیا
اس گل بدن پہ نقش اٹھ آئے گلاب کے
फूलों की सेज पर ज़रा आराम क्या किया
उस गुल-बदन पे नक़्श उठ आए गुलाब के
phoolon ki sej par zara aaram kya kiya
us gul-badan pe naqsh uth aaye gulab ke
دیکھ لیتا ہے تو کھلتے چلے جاتے ہیں گلاب
میری مٹی کو خوش آثار کیا ہے اس نے
देख लेता है तो खिलते चले जाते हैं गुलाब
मेरी मिट्टी को ख़ुश-आसार किया है उस ने
dekh leta hai to khilte chale jaate hain gulab
meri mitti ko khush-aasar kiya hai us ne
Aur Shayari Padhein →
SUKHAN
اردو
हिंदी
Roman

DIWAN E SUKHAN

"Har ek baat pe kehte ho..."
Urdu Hindi Roman
Ghazalein
Full Ghazals
Ash'aar
Couplets Feed
Nazmein
Story in Verse
Bayaaz
My Diary
Takhleeq
Create & Submit Poetry
View All
View All
Blog e Sukhan

Adab aur Dastan: Shayaron ki Mehfil

Urdu adab ke sunehre daur ki kahaniyan, azeem shayaron ke posheeda qisse, aur unki zindagiyon ke naye pehlu ek hi jagah.

Mazameen Padhein
Ishtehaar

Aapka Brand Yahan!

Diwan E Sukhan ke hazaron padhne walon tak apna paigham pohnchayein. Yeh khaas jagah premium brands aur karobar ke liye banayi gayi hai.
(TAP TO LEARN MORE!)

Ad by Fiza Perfumes Ishtehaar Ke Liye Rabta Karein
Sponsored Space
Message