DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Saqi

Poetry Collection

Ash'aar

Shakeel Badayuni
uTha jo mina-ba-dast saaqi rahi na kuchh taab-e-zabt baaqi tamam mai-kash pukar uTThe yahan se pahle yahan se pahle...
Noon Meem Rashid
pila saqiya mai-e-jaan pila ki main laun phir khabar-e-junun ye khirad ki raat chhaTe kahin nazar aae phir sahar-e-junun...
Ameer Minai
na vaaiz hajv kar ek din duniya se jaana hai are munh saqi-e-kausar ko bhi aakhir dikhana hai...
Daya Shankar Naseem
chala dukhtar-e-raz ko le kar jo saaqi farishta hue saath ghar dekhne ko...
Khwaja Meer Dard
saaqi mire bhi dil ki taraf Tuk nigah kar lab-tishna teri bazm mein ye jaam rah gaya...
Mohammad Rafi Sauda
saaqi gai bahaar rahi dil mein ye havas tu minnaton se jaam de aur main kahun ki bas...
Mohammad Rafi Sauda
saaqi hamari tauba tujh par hai kyun gavara minnat nahin to zalim targhib ya ishara...
Abdul Hamid Adam
shikan na daal jabeen par sharab dete hue ye muskurati hui cheez muskura ke pila...
Abdul Hamid Adam
ye alag baat hai saqi ki mujhe hosh nahin hosh itna hai ki main tujh se faramosh nahin...
Abdul Hamid Adam
zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta main kaise bin piye le loon khuda ka naam ai saqi...
Abdul Hamid Adam
saqi mire khuloos ki shiddat ko dekhna phir aa gaya hoon gardish-e-dauran ko taal kar...
Abdul Hamid Adam
saqi tujhe ik thodi si takleef to hogi saghar ko zara thaam main kuchh soch raha hoon...
Saghar Siddiqui
jab jaam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein ik hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye...
Saqi Faruqi
main khil nahin saka ki mujhe nam nahin mila saaqi mire mizaj ka mausam nahin mila...
Shad Azimabadi
kahan se lauan sabr-e-hazrat-e-ayyoob ai saaqi khum aayega surahi aayegi tab jaam aayega...
Shad Azimabadi
nigah-e-naaz se saqi ka dekhna mujh ko mira wo haath mein saghar utha ke rah jaana...
Yagana Changezi
waiz ki aankhein khul gayin peete hi saqiya ye jaam-e-mai tha ya koi dariya-e-noor tha...
Yagana Changezi
saqi main dekhta hoon zameen aasman ka farq arsh-e-bareen mein aur tire aastane mein...
Nazeer Akbarabadi
mai bhi hai meena bhi hai saghar bhi hai saqi nahin dil mein aata hai laga dein aag mai-khane ko ham...
Nazeer Akbarabadi
qismat mein gar hamari ye mai hai to saqiya be-ikhtiyar aap se sheesha karega jast...
Nazeer Akbarabadi
kuchh ham ko imtiyaz nahin saaf o durd ka ai saqiyan-e-bazm bayarid harche hast...
Ismail Merathi
jis ne chashm-e-mast-e-saqi dekh li ta qayamat us pe hushyari haraam...
Explore more on Diwan E Sukhan