DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Satire

Poetry Collection

Ash'aar

Mirza Ghalib
kahan mai-khane ka darvaza ghalib aur kahan vaiz par itna jaante hain kal vo jaata tha ki ham nikle...
Faiz Ahmad Faiz
khair dozakh mein mai mile na mile shaikh-sahab se jaan to chhuTegi...
Meer Taqi Meer
amir-zadon se dilli ke mil na ta-maqdur ki ham faqir hue hain inhin ki daulat se...
Allama Iqbal
gala to ghonT diya ahl-e-madarsa ne tira kahan se aae sada la ilaah il-lallah...
Akbar Allahabadi
ham kya kahen ahbab kya kar-e-numayan kar gae B.A. hue naukar hue pension mili phir mar gae...
Akbar Allahabadi
khincho na kamanon ko na talvar nikalo jab top muqabil ho to akhbar nikalo...
Akbar Allahabadi
bataun aap ko marne ke baad kya hoga polao khaaenge ahbab fatiha hoga...
Akbar Allahabadi
sidharen shaikh kaaba ko ham inglistan dekhenge vo dekhen ghar khuda ka ham khuda ki shaan dekhenge...
Akbar Allahabadi
kuchh allahabad mein saman nahin bahbud ke yaan dhara kya hai ba-juz akbar ke aur amrud ke...
Akbar Allahabadi
khush-nasib aaj bhala kaun hai gauhar ke siva sab kuchh allah ne de rakkha hai shauhar ke siva...
Akbar Allahabadi
boot Dawson ne banaya main ne ik mazmun likha mulk mein mazmun na phaila aur juta chal gaya...
Akbar Allahabadi
public mein zara haath mila lijiye mujh se sahab mire iman ki qimat hai to ye hai...
Akbar Allahabadi
sayyad ki sarguzisht ko haali se puchhiye ghazi miyan ka haal Dafali se puchhiye...
Rahat Indori
roz patthar ki himayat mein ghazal likhte hain roz shishon se koi kaam nikal paDta hai...
Rahat Indori
main aa kar dushmanon mein bas gaya hun yahan hamdard hain do-chaar mere...
Qateel Shifai
apne liye ab ek hi raah najat hai har zulm ko raza-e-khuda kah liya karo...
Altaf Hussain Hali
yaani ik kaala na jis gore ke mukke se mare kar nahin sakta hukumat hind par vo zinhar...
Dushyant Kumar
ek Dhela to vahin aTka tha ek tu aur uchhaal aaya hai...
Mohammad Alvi
kyun sar khapa rahe ho mazameen ki khoj mein kar lo jadeed shaeri lafzon ko jod kar...
Pirzada Qasim
shahr talab kare agar tum se ilaj-e-teeragi sahab-e-ikhtiyar ho aag laga diya karo...
Pirzada Qasim
ik saza aur aseeron ko suna di jaye yaani ab jurm-e-aseeri ki saza di jaye...
Saleem Kausar
tum ne sach bolne ki jurat ki ye bhi tauheen hai adalat ki...
Yagana Changezi
jaise dozakh ki hawa kha ke abhi aaya ho kis qadar waiz-e-makkar darata hai mujhe...

Ghazalein

Explore more on Diwan E Sukhan