DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Shore
Poetry Collection
Ash'aar
Mohammad Alvi
sadiyon se kinare pe khada sookh raha hai is shahr ko dariya mein gira dena chahiye...
Saleem Kausar
pukarte hain unhein sahilon ke sannate jo log doob gaye kashtiyan banate hue...
Saghar Siddiqui
ye kinaron se khelne wale doob jaayen to kya tamasha ho...
Shad Azimabadi
main hairat o hasrat ka maara khamosh khada hoon sahil par dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain ham...
Shariq Kaifi
kahin na tha wo dariya jis ka sahil tha main aankh khuli to ik sahra ke muqabil tha main...
Yagana Changezi
baaz aa sahil pe ghote khane wale baaz aa doob marne ka maza dariya-e-be-sahil mein hai...
Aziz Bano Darab Wafa
main bhi sahil ki tarah toot ke bah jaati hoon jab sada de ke bulata hai samundar mujh ko...
Aziz Bano Darab Wafa
ham hain ehsas ke sailab-zada sahil par dekhiye ham ko kahan le ke kinara jaaye...
Explore more on Diwan E Sukhan