DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Short life

Poetry Collection

Ash'aar

Faiz Ahmad Faiz
ik fursat-e-gunah mili vo bhi chaar din dekhe hain ham ne hausle parvardigar ke...
Meer Taqi Meer
kaha main ne kitna hai gul ka sabaat kali ne ye sun kar tabassum kiya...
Firaq Gorakhpuri
ye maana zindagi hai chaar din ki bahut hote hain yaaro chaar din bhi...
Shakeel Badayuni
gham-e-umr-e-mukhtasar se abhi be-khabar hain kaliyan na chaman mein phenk dena kisi phuul ko masal kar...
Jan Nisar Akhtar
fursat-e-kaar faqat chaar ghaDi hai yaaro ye na socho ki abhi umr paDi hai yaaro...
Tehzeeb Hafi
Dastaan hoon main ik taweel magar Tu jo sun le to mukhtasar bhi hoon...
Shaikh Ibrahim Zauq
phuul to do din bahaar-e-jaan-faza dikhla gae hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae...
Shaikh Ibrahim Zauq
ho umr-e-khizr bhi to ho maalum vaqt-e-marg ham kya rahe yahan abhi aae abhi chale...
Explore more on Diwan E Sukhan