DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Sin

Poetry Collection

Ash'aar

Jaun Elia
bahut katra rahe ho mughbachon se gunah-e-tark-e-bada kar liya kya...
Abdul Hamid Adam
tadap kar main ne tauba tod daali tiri rahmat pe ilzam aa raha tha...
Ahmad Mushtaq
wo jo raat mujh ko bade adab se salam kar ke chala gaya use kya khabar mire dil mein bhi kabhi aarzoo-e-gunah thi...
Irfan Siddiqi
main kahan tak dil-e-sada ko bhatakne se bachaun aankh jab utthe gunahgar bana de mujh ko...
Mohammad Alvi
un ko gunah karte hue main ne ja liya phir un ke saath main bhi gunahgar ho gaya...
Saqi Faruqi
mujhe gunah mein apna suragh milta hai wagarna parsa-o-deen-dar main bhi tha...
Ismail Merathi
kabhi taqseer jis ne ki hi nahin ham se poochho to aadmi hi nahin...
Aziz Bano Darab Wafa
jaane kitne raaz khulein jis din chehron ki raakh dhule lekin sadhu-santon ko dukh de kar paap kamaye kaun...
Explore more on Diwan E Sukhan