DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Sky

Poetry Collection

Ash'aar

Jaun Elia
apna rishta zamin se hi rakkho kuchh nahin aasman mein rakkha...
Nadim Nadeem
Bikherta hai raushni rida-e-aasman se wo Sitare jaise odhni mein pad gaye hon dagh se...
Adil Mansuri
kabhi khaak walon ki baatein bhi sun kabhi aasmanon se neeche utar...
Ahmad Mushtaq
dhuen se aasman ka rang maila hota jaata hai hare jangal badalte ja rahe hain karkhanon mein...
Mohammad Alvi
aasman par ja pahunchun allah tera naam likhoon...
Mohammad Alvi
zameen chhodne ka anokha maza kabootar ki oonchi udanon mein tha...
Rajinder Manchanda Bani
ud chala wo ik juda khaaka liye sar mein akela subh ka pahla parinda aasman bhar mein akela...
Yagana Changezi
saqi main dekhta hoon zameen aasman ka farq arsh-e-bareen mein aur tire aastane mein...
Nazeer Akbarabadi
chalte chalte na khalish kar falak-e-doon se 'nazeer' faeda kya hai kamine se jhagad kar chalna...
Nazeer Akbarabadi
kal mire qatl ko is dhab se wo baanka nikla munh se jallad-e-falak ke bhi ahaha nikla...
Nazeer Akbarabadi
tode hain bahut sheesha-e-dil jis ne 'nazeer' aah phir charkh wahi gumbad-e-meenai hai kam-bakht...
Ismail Merathi
tareef us khuda ki jis ne jahan banaya kaisi zameen banayi kya aasman banaya...
Ismail Merathi
sair-e-warood-e-qafila-e-nau-bahar dekh barpa khayam-e-auj hawa mein ghata ke hain...
Explore more on Diwan E Sukhan