DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Sleep
Poetry Collection
Ash'aar
Ahmad Faraz
jab bhi dil khol ke roe honge log aaram se soe honge...
Munawwar Rana
tumhein bhi niind si aane lagi hai thak gae ham bhi chalo ham aaj ye qissa adhura chhoD dete hain...
Naseer Turabi
Aaj ki raat ujale mire ham-saya hain Aaj ki raat jo so lun to naya ho jaun...
Abdul Hamid Adam
so bhi ja ai dil-e-majrooh bahut raat gayi ab to rah rah ke sitaron ko bhi neend aati hai...
Adil Mansuri
darwaza khatkhata ke sitare chale gaye khwabon ki shaal odh ke main oonghta raha...
Adil Mansuri
na koi rok saka khwab ke safeeron ko udaas kar gaye neendon ke rahgeeron ko...
Ahmad Mushtaq
neendon mein phir raha hoon use dhoondta hua shamil jo ek khwab mire rat-jage mein tha...
Ahmad Nadeem Qasmi
paa kar bhi to neend ud gayi thi kho kar bhi to rat-jage mile hain...
Khumar Barabankavi
mujh se ai dost phir khafa ho ja ishq ko neend aayi jaati hai...
Mohammad Alvi
office mein bhi ghar ko khula paata hoon main table par sar rakh kar so jaata hoon main...
Saleem Kausar
kahani likhte hue dastan sunate hue wo so gaya hai mujhe khwab se jagate hue...
Shariq Kaifi
achanak hadbada kar neend se main jaag uttha hoon purana waqia hai jis pe hairat ab hui hai...
Shariq Kaifi
bahut haseen raat hai magar tum to so rahe ho nikal ke kamre se ik nazar chandni to dekho...
Shariq Kaifi
kya mila dasht mein aa kar tire deewane ko ghar ke jaisa hi agar jaagna sona hai yahan...
Shariq Kaifi
neend ke waste waise bhi zaroori hai thakan pyaas bhadkayen kisi saaye ka peechha kar aayen...
Nazeer Akbarabadi
shab ko aa kar wo phir gaya haihat kya isi raat ham ko sona tha...
Nazeer Akbarabadi
har ik makan mein guzargah-e-khwab hai lekin agar nahin to nahin ishq ke janab mein khwab...
Aziz Bano Darab Wafa
kahne wala khud to sar takiye pe rakh kar so gaya meri be-chaari kahani raat bhar roti rahi...
Aziz Bano Darab Wafa
shahr khwabon ka sulagta raha aur shahr ke log be-khabar soye hue apne makanon mein mile...
Aziz Bano Darab Wafa
mere andar ek dastak si kahin hoti rahi zindagi odhe hue main be-khabar soti rahi...
Explore more on Diwan E Sukhan