DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Sleepless night

Poetry Collection

Ash'aar

Parveen Shakir
raat ke shayad ek baje hain sota hoga mera chaand...
Momin Khan Momin
thi vasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab vo aae to bhi niind na aai tamam shab...
Akbar Allahabadi
kya hi rah rah ke tabiat miri ghabrati hai maut aati hai shab-e-hijr na niind aati hai...
Mohsin Naqvi
kaash koi ham se bhi puchhe raat gae tak kyun jaage ho...
Gulzar
ek hi khvab ne saari raat jagaya hai main ne har karvaT sone ki koshish ki...
Altaf Hussain Hali
chor hai dil mein kuchh na kuchh yaaro niind phir raat bhar na aai aaj...
Ameer Minai
shab-e-furqat ka jaaga hun farishto ab to sone do kabhi fursat mein kar lena hisab aahista aahista...
Siraj Aurangabadi
hijr ki raaton mein lazim hai bayan-e-zulf-e-yaar niind to jaati rahi hai qissa-khvani kijiye...
Siraj Aurangabadi
takiya-e-makhmali sirhane rakh lekin aankhon sin apni khvab nikal...
Shahryar
aankhon ko sab ki niind bhi di khvab bhi diye ham ko shumar karti rahi dushmanon mein raat...
Bahadur Shah Zafar
ja kahiyo mera nasim-e-sahar mira chain gaya miri niind gai...
Mohammad Rafi Sauda
sauda khuda ke vaaste kar qissa mukhtasar apni to niind uD gai tere fasane mein...
Explore more on Diwan E Sukhan