DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Sleepless

Poetry Collection

Ash'aar

Ahmad Faraz
ye dil ka dard to umron ka rog hai pyare so jaae bhi to pahr do pahr ko jaata hai...
Jaun Elia
bin tumhaare kabhi nahin aai kya miri niind bhi tumhaari hai...
Rahat Indori
raat ki dhaDkan jab tak jaari rahti hai sote nahin ham zimmedari rahti hai...
Qateel Shifai
hamein bhi niind aa jaegi ham bhi so hi jaenge abhi kuchh be-qarari hai sitaro tum to so jao...
Habib Jalib
kuchh log khayalon se chale jaaen to soen biite hue din raat na yaad aaen to soen...
Ibn-e-Insha
raat aa kar guzar bhi jaati hai ik hamari sahar nahin hoti...
Wali Dakni
ai nur-e-jaan-o-dida tire intizar mein muddat hui palak sun palak aashna naiin...
Mohammad Rafi Sauda
sauda tiri fariyad se aankhon mein kaTi raat aai hai sahar hone ko tuk tu kahin mar bhi...
Ahmad Nadeem Qasmi
kuchh khel nahin hai ishq karna ye zindagi bhar ka rat-jaga hai...
Nazeer Akbarabadi
tumhare hijr mein aankhein hamari muddat se nahin ye jaantin duniya mein khwab hai kya cheez...
Explore more on Diwan E Sukhan