DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Stars
Poetry Collection
Ash'aar
Daya Shankar Naseem
subh-dam ghaeb hue anjum to sabit ho gaya khanda-e-behuda par toDe gae dandan-e-subh...
Siraj Aurangabadi
na bujho aasman par tum sitare hamari aah ki chingariyan hain...
Nadim Nadeem
Bikherta hai raushni rida-e-aasman se wo Sitare jaise odhni mein pad gaye hon dagh se...
Abdul Hamid Adam
so bhi ja ai dil-e-majrooh bahut raat gayi ab to rah rah ke sitaron ko bhi neend aati hai...
Adil Mansuri
darwaza khatkhata ke sitare chale gaye khwabon ki shaal odh ke main oonghta raha...
Adil Mansuri
girte rahe nujoom andhere ki zulf se shab bhar rahin khamoshiyan sayon se ham-kanar...
Ahmad Mushtaq
chaand bhi nikla sitare bhi barabar nikle mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle...
Ahmad Nadeem Qasmi
tum mire iradon ke dolte sitaron ko yaas ke khalaon mein rasta dikhate ho...
Rajinder Manchanda Bani
koi bhooli hui shai taaq-e-har-manzar pe rakkhi thi sitare chhat pe rakkhe the shikan bistar pe rakkhi thi...
Rajinder Manchanda Bani
silsila raushan tajassus ka udhar mera bhi hai ai sitaro us khala mein ik safar mera bhi hai...
Saleem Kausar
tamam umr sitare talash karta phira palat ke dekha to mahtab mere samne tha...
Saghar Siddiqui
aaj phir bujh gaye jal jal ke umidon ke charagh aaj phir taron bhari raat ne dam tod diya...
Saghar Siddiqui
ek waada hai kisi ka jo wafa hota nahin warna in taron bhari raaton mein kya hota nahin...
Saqi Faruqi
subh tak raat ki zanjeer pighal jayegi log pagal hain sitaron se ulajhna kaisa...
Explore more on Diwan E Sukhan