DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Story
Poetry Collection
Ash'aar
Tehzeeb Hafi
Dastaan hoon main ik taweel magar Tu jo sun le to mukhtasar bhi hoon...
Athar Aalam
Chalo is dastaan ko adhoora hi chhod dete hain Ke mukammal hone pe kahan kisi ka basera thehra hai...
Meena Kumari Naaz
Aaghaz to hota hai anjaam nahin hota Jab meri kahani mein wo naam nahin hota...
Shakeel Azmi
Tumhaare dard se le kar hamaare aansu tak Badi taweel kahani hai aag paani ki...
Sudarshan Faakir
Miri zabaan se miri dastaan suno to sahi Yaqeen karo na karo mehrbaan suno to sahi...
Abdul Hamid Adam
ye baatein aur mujh sa kahne wala fasana aur phir tera fasana...
Ahmad Mushtaq
pata ab tak nahin badla hamara wahi ghar hai wahi qissa hamara...
Irfan Siddiqi
aakhir-e-shab hui aaghaz kahani apni ham ne paaya bhi to ik umr ganwa kar us ko...
Khalilur Rahman Azmi
suna raha hoon unhein jhoot-moot ik qissa ki ek shakhs mohabbat mein kaamyab raha...
Khalilur Rahman Azmi
ab un beete dinon ko soch kar to aisa lagta hai ki khud apni mohabbat jaise ik jhooti kahani ho...
Khalilur Rahman Azmi
duniya bhar ki ram-kahani kis kis dhang se kah daali apni kahne jab baithe to ek ek lafz pighalta tha...
Khumar Barabankavi
salam aakhir hai ahl-e-anjuman ko khumar ab khatm apni dastan hai...
Mohammad Alvi
ik ladka tha ik ladki thi aage allah ki marzi thi...
Mohammad Alvi
batti bujha ke hero heroine lipat gaye qissa bahut hi phir to mazedar ho gaya...
Mohammad Alvi
'alvi' ne aaj din mein kahani sunayi thi shayad isi wajah se main rasta bhatak gaya...
Saleem Kausar
kahani likhte hue dastan sunate hue wo so gaya hai mujhe khwab se jagate hue...
Saleem Kausar
tujhe dushmanon ki khabar na thi mujhe doston ka pata nahin tiri dastan koi aur thi mira waqia koi aur hai...
Saleem Kausar
kuchh is tarah se wo shamil hua kahani mein ki is ke baad jo kirdar tha fasana hua...
Saleem Kausar
khamosh sahi markazi kirdar to ham the phir kaise bhala teri kahani se nikalte...
Saghar Siddiqui
ab apni haqeeqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai duniya ki haqeeqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhool gaye...
Saghar Siddiqui
jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi un mohabbat ki riwayat ne dam tod diya...
Shad Azimabadi
sun chuke jab haal mera le ke angdaai kaha kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha...
Shad Azimabadi
suni hikayat-e-hasti to darmiyan se suni na ibtida ki khabar hai na intiha maaloom...
Shad Azimabadi
kahte hain ahl-e-hosh jab afsana aap ka hansta hai dekh dekh ke deewana aap ka...
Aziz Bano Darab Wafa
kahne wala khud to sar takiye pe rakh kar so gaya meri be-chaari kahani raat bhar roti rahi...
Aziz Bano Darab Wafa
dhoop meri saari rangeeni uda le jayegi shaam tak main dastan se waqia ho jaungi...
Aziz Bano Darab Wafa
wafa ke naam par paira kiye kachche ghade le kar duboya zindagi ko dastan-dar-dastan ham ne...
Aziz Bano Darab Wafa
sunne wale mira qissa tujhe kya lagta hai chor darwaza kahani ka khula lagta hai...
Aziz Bano Darab Wafa
tatolta hua kuchh jism o jaan tak pahuncha wo aadmi jo miri dastan tak pahuncha...
Aziz Bano Darab Wafa
fasana-dar-fasana phir rahi hai zindagi jab se kisi ne likh diya hai taaq-e-nisyan par pata apna...
Explore more on Diwan E Sukhan