DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan
Tauba
Poetry Collection
Ash'aar
Mirza Ghalib
ki mire qatl ke baad us ne jafa se tauba haae us zud-pasheman ka pasheman hona...
Hasrat Mohani
barsaat ke aate hi tauba na rahi baaqi baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi...
Munawwar Rana
gar kabhi rona hi paD jaae to itna rona aa ke barsaat tire samne tauba kar le...
Mohammad Rafi Sauda
saaqi hamari tauba tujh par hai kyun gavara minnat nahin to zalim targhib ya ishara...
Abdul Hamid Adam
tauba ka takalluf kaun kare halaat ki niyyat theek nahin rahmat ka irada bigda hai barsaat ki niyyat theek nahin...
Abdul Hamid Adam
tadap kar main ne tauba tod daali tiri rahmat pe ilzam aa raha tha...
Abdul Hamid Adam
mujhe tauba ka poora ajr milta hai usi saat koi zohra-jabeen peene pe jab majboor karta hai...
Khumar Barabankavi
guzre hain mai-kade se jo tauba ke baad ham kuchh door aadatan bhi qadam dagmagaye hain...
Khumar Barabankavi
kya jawani gayi janab-e-'khumar' kaise tauba ki baat yaad aayi...
Explore more on Diwan E Sukhan