DIWAN E SUKHAN
Explore more on Diwan E Sukhan

Thirst

Poetry Collection

Ash'aar

Allama Iqbal
samundar se mile pyase ko shabnam bakhili hai ye razzaqi nahin hai...
Dagh Dehlvi
saqiya tishnagi ki taab nahin zahr de de agar sharab nahin...
Jigar Moradabadi
kamal-e-tishnagi hi se bujha lete hain pyaas apni isi tapte hue sahra ko ham dariya samajhte hain...
Amjad Islam Amjad
aankh bhi apni sarab-aalud hai aur is dariya mein paani bhi nahin...
Munawwar Rana
phir karbala ke baad dikhai nahin diya aisa koi bhi shakhs ki pyasa kahen jise...
Siraj Aurangabadi
nahin bujhti hai pyaas aansu sin lekin karen kya ab to yaan paani yahi hai...
Tehzeeb Hafi
Kaun sahraon ki pyas hai in makanon ki buniyaad mein Barishon se agar bach bhi jaen to dariya nahin chhodta...
Adil Mansuri
har aankh mein thi tootte lamhon ki tishnagi har jism pe tha waqt ka saaya pada hua...
Khalilur Rahman Azmi
hazar tarah ki mai pi hazar tarah ke zahr na pyaas hi bujhi apni na hausla nikla...
Mohammad Alvi
dil hai pyaasa husain ke manind ye badan karbala ka maidan hai...
Rajinder Manchanda Bani
os se pyaas kahan bujhti hai moosla-dhaar baras meri jaan...
Saqi Faruqi
pyaas badhti ja rahi hai bahta dariya dekh kar bhagti jaati hain lahrein ye tamasha dekh kar...
Saqi Faruqi
wo miri ruuh ki uljhan ka sabab jaanta hai jism ki pyaas bujhane pe bhi raazi nikla...
Shakeb Jalali
ye ek abr ka tukda kahan kahan barse tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai...
Shakeb Jalali
sahil tamam ashk-e-nadamat se at gaya dariya se koi shakhs to pyasa palat gaya...
Shariq Kaifi
neend ke waste waise bhi zaroori hai thakan pyaas bhadkayen kisi saaye ka peechha kar aayen...
Nazeer Akbarabadi
door se aaye the saqi sun ke mai-khane ko ham bas taraste hi chale afsos paimane ko ham...
Aziz Bano Darab Wafa
tishnagi meri musallam hai magar jaane kyun log de dete hain toote hue pyaale mujh ko...
Explore more on Diwan E Sukhan